rabta
ek raj.at ke marhale meñ rahūñ
maiñ palaTne ke mashġhale meñ rahūñ
ye taqāza thā jaane vāloñ kā
bichhḌī nasloñ se rābte meñ rahūñ
maiñ kaḌī huuñ ga.e zamānoñ kī
shahr-e-māzī ke ḳhaak dānoñ kī
raakh hote hue jahānoñ kī
bhūle-bisre hue fasānoñ kī
sah sakegā na ab mizāj apnā
nīsh-e-vahshat kī dard añgezī
apnī aqdār se tasādum-ḳhez
dard-e-ehsās kī numū-ḳhezī
ham ko jo mil gayā tasalsul se
nazr-e-tūfān-e-sañg to na kareñ
apne aslāf se jo faiz milā
us ko vahshat ba-rañg to na kareñ
hameñ nāmūs kī virāsat ko
sho.ala-e-jāñ banā ke rakhnā hai
apne maazī se rābte ke liye
apnā virsa bachā ke rakhnā hai
apne miTte hue havāloñ ko
aane vaalo bachā ke rakhnā hai
ham ko ab aas ke jazīroñ meñ
kashtiyoñ ko jalā ke rahnā hai
varna ye rabt TuuT jā.egā
aur tasalsul bhī chhūT jā.egā
ek rajat ke marhale mein rahun
main palaTne ke mashghale mein rahun
ye taqaza tha jaane walon ka
bichhDi naslon se rabte mein rahun
main kaDi hun gae zamanon ki
shahr-e-mazi ke KHak danon ki
rakh hote hue jahanon ki
bhule-bisre hue fasanon ki
sah sakega na ab mizaj apna
nish-e-wahshat ki dard angezi
apni aqdar se tasadum-KHez
dard-e-ehsas ki numu-KHezi
hum ko jo mil gaya tasalsul se
nazr-e-tufan-e-sang to na karen
apne aslaf se jo faiz mila
us ko wahshat ba-rang to na karen
hamein namus ki wirasat ko
shoala-e-jaan bana ke rakhna hai
apne mazi se rabte ke liye
apna wirsa bacha ke rakhna hai
apne miTte hue hawalon ko
aane walo bacha ke rakhna hai
hum ko ab aas ke jaziron mein
kashtiyon ko jala ke rahna hai
warna ye rabt TuT jaega
aur tasalsul bhi chhuT jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.