raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal
maiñ safar meñ huuñ liye kāñdhoñ pe apnī rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās saal
saañs jab tak saath hai maiñ ḳhvāhishoñ kā jagmagātā haath thāme
terī hamrāhī meñ huuñ
ḳhvāhisheñ ek shāmiyāna haiñ laraztī āḳhirī hichkī ke aur kuchh māñgtī pahlī sadā ke darmiyāñ
jis ke saa.e meñ guzarte vaqt ke vaqt ke chalte hue lamhoñ ko miltā hai sukūñ
hai unhī jalte hue lamhoñ kī jagmag meñ mirī pahchān gum
lamhe chalte haiñ guzartā vaqt andhā hai magar
aur guzarte vaqt kī pahchān detā hai to mustaqbil kā vo naqsh-e-gurezāñ haft-rañg
jo ufuq tak jaa.e mai rāste se ab bhī barsoñ duur hai
maiñ safar meñ huuñ liye kāñdhoñ pe apnī rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās saal
DhūñDhtā huuñ aane vaale vaqt meñ us ek lamhe ko jo sach kahne kī jur.at de mujhe
taaki mar jaane se pahle ek baar
maiñ bhī ashyā ko pukāroñ un ke apne naam se
is liye ki har kitāb-e-āsmānī meñ likhā hai sach kaho
aur yahī ḳhvāhish hai jo ab tak sarāb-e-ḳhvāb hai
lekin aisā ḳhvāb dekhā kis ne jo ta.abīr kī had meñ na ho
maiñ ki ab bhī ḳhvāhishoñ kā haath thāme
terī hamrāhī meñ huuñ
maiñ ne ab tak kaise kaise naam de kar tujh ko dekhā hai ḳhud apne rañg meñ
chāhtā huuñ ab kabhī tujh ko pukārūñ tere apne naam se
is liye maiñ har na.e imkāñ kī sarhad tak chalūñgā tere haath
raah kī dīvār kyuuñ mere liye huuñ rā.egāñ āzādiyoñ ke be-samar unchās saal
is liye ki saañs chaltī hai to har manzil mirī bāñhoñ meñ hai
is liye ki ḳhvāhisheñ to vaqt kī mānind haiñ be-sin-o-sāl
is liye ki vaqt kab būḌhā huā būḌhe to hote haiñ daraḳht
maiñ ki ab bhī ḳhvāhishoñ kā haath thāme terī hamrāhī meñ huuñ
har na.e imkāñ kī sarhad tak chalūñgā tere saath
main safar mein hun liye kandhon pe apni raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal
sans jab tak sath hai main KHwahishon ka jagmagata hath thame
teri hamrahi mein hun
KHwahishen ek shamiyana hain larazti aaKHiri hichki ke aur kuchh mangti pahli sada ke darmiyan
jis ke sae mein guzarte waqt ke waqt ke chalte hue lamhon ko milta hai sukun
hai unhi jalte hue lamhon ki jagmag mein meri pahchan gum
lamhe chalte hain guzarta waqt andha hai magar
aur guzarte waqt ki pahchan deta hai to mustaqbil ka wo naqsh-e-gurezan haft-rang
jo ufuq tak jae mai raste se ab bhi barson dur hai
main safar mein hun liye kandhon pe apni raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal
DhunDhta hun aane wale waqt mein us ek lamhe ko jo sach kahne ki jurat de mujhe
taki mar jaane se pahle ek bar
main bhi ashya ko pukaron un ke apne nam se
is liye ki har kitab-e-asmani mein likha hai sach kaho
aur yahi KHwahish hai jo ab tak sarab-e-KHwab hai
lekin aisa KHwab dekha kis ne jo tabir ki had mein na ho
main ki ab bhi KHwahishon ka hath thame
teri hamrahi mein hun
main ne ab tak kaise kaise nam de kar tujh ko dekha hai KHud apne rang mein
chahta hun ab kabhi tujh ko pukarun tere apne nam se
is liye main har nae imkan ki sarhad tak chalunga tere hath
rah ki diwar kyun mere liye hun raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal
is liye ki sans chalti hai to har manzil meri banhon mein hai
is liye ki KHwahishen to waqt ki manind hain be-sin-o-sal
is liye ki waqt kab buDha hua buDhe to hote hain daraKHt
main ki ab bhi KHwahishon ka hath thame teri hamrahi mein hun
har nae imkan ki sarhad tak chalunga tere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.