rag gyan
sāñjh savere mauj meñ apnī
bahtā jaa.e vaqt kā dhārā
jaise sāgar gahrā
jaane kahāñ hai manzil us kī
jaane kahāñ kinārā
vaqt ke is gahre sāgar meñ
Dol rahī hai jīvan naav
pīchhe bhī mañjdhār hai is ke
aage bhī mañjdhār hai is ke
aur is naav meñ baiThā hai ik sansār
jaane ko us paar
aur ye naav pal ke pal meñ
yuuñ khaa.e hachkole
shaam ke baḌhte añdhiyāroñ meñ
binā pirītam jaise
taarī kā man Dole
naav meñ baiThe saare musāfir
haiñ ik gahrī soch meñ gum
lekin sab ke dil meñ khile haiñ
kuchh aashā ke phuul
jin par jamtī jaa.e pal pal
ek nirāsh kī dhuul
jis ke kāran ho jaatā hai jīvan
bhaag bhaag meñ likkhī bhuul
lekin kaun ye jaane
kis ke bhaag meñ likkhe haiñ
kis kis ke dukh-sukh ke bhed
kis ke haath kī rekhāoñ meñ
pyaas likhī hai
kis kī qismat meñ paimāne
kaun ye jaane
aur agar kuchh jaan bhī jaa.e koī
apnī rekhāoñ meñ likkhī pyaas na koī maane
lekin chāhe koī māne, chāhe koī na maane
sāñjh-savere mauj meñ apnī
bahtā jaa.e vaqt kā dhārā
aur is dhāre sañg chalī hai
Dag-mag Dag-mag jīvan naav
sanjh sawere mauj mein apni
bahta jae waqt ka dhaara
jaise sagar gahra
jaane kahan hai manzil us ki
jaane kahan kinara
waqt ke is gahre sagar mein
Dol rahi hai jiwan naw
pichhe bhi manjdhaar hai is ke
aage bhi manjdhaar hai is ke
aur is naw mein baiTha hai ek sansar
jaane ko us par
aur ye naw pal ke pal mein
yun khae hachkole
sham ke baDhte andhiyaron mein
bina piritam jaise
tari ka man Dole
naw mein baiThe sare musafir
hain ek gahri soch mein gum
lekin sab ke dil mein khile hain
kuchh aasha ke phul
jin par jamti jae pal pal
ek nirash ki dhul
jis ke karan ho jata hai jiwan
bhag bhag mein likkhi bhul
lekin kaun ye jaane
kis ke bhag mein likkhe hain
kis kis ke dukh-sukh ke bhed
kis ke hath ki rekhaon mein
pyas likhi hai
kis ki qismat mein paimane
kaun ye jaane
aur agar kuchh jaan bhi jae koi
apni rekhaon mein likkhi pyas na koi mane
lekin chahe koi mane, chahe koi na mane
sanjh-sawere mauj mein apni
bahta jae waqt ka dhaara
aur is dhaare sang chali hai
Dag-mag Dag-mag jiwan naw
- Book : Zehn-e-Jadeed (Pg. 186)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.