rah-rau
subuk-pā havā kī tarah maiñ guzartā rahā
subuk-pā havā kī kahīñ koī manzil nahīñ
havā be-karāñ vaqt kī mauj azal se tarastī rahī
kahīñ pal ko sustā sake so sake
magar duur hadd-e-nazar ik dhundalkā thā ab bhī dhundalkā hai sāhil nahīñ
mujhe zindagī ik ḳhalish ban ke Dastī rahī
kabhī aisī manzil na aa.ī jahāñ koī taaza nafas ho sake
har ik dhundlī manzil se pahle nayā rāsta hī ubhartā rahā
kabhī jalte phūloñ kī nau-ḳhez ḳhushbueñ dil meñ dahaktī rahīñ
kabhī ḳhushk jhulsī huī Tahniyāñ abr-pāroñ ko hasrat
se taktī rahīñ
vo kuchh mujh se kahne ko thiiñ aur jhijaktī rahīñ
kabhī sukh ke saa.e kabhī dukh ke dariyā mirā dil machaltā rahā
kahīñ phaile maidāñ kahīñ saḳht ūñchī chaTānoñ ke
uljhe hue silsile
magar merī manzil yahāñ bhī nahīñ thī vahāñ bhī nahīñ
maiñ chalne pe majbūr chaltā rahā
maiñ har baar kuchh bhuul aayā huuñ pīchhe kahīñ
yūñhī jaise ḳhud rah gayā huuñ kasī phuul ke paas
chalte hue
subuk-pa hawa ki tarah main guzarta raha
subuk-pa hawa ki kahin koi manzil nahin
hawa be-karan waqt ki mauj azal se tarasti rahi
kahin pal ko susta sake so sake
magar dur hadd-e-nazar ek dhundalka tha ab bhi dhundalka hai sahil nahin
mujhe zindagi ek KHalish ban ke Dasti rahi
kabhi aisi manzil na aai jahan koi taza nafas ho sake
har ek dhundli manzil se pahle naya rasta hi ubharta raha
kabhi jalte phulon ki nau-KHez KHushbuen dil mein dahakti rahin
kabhi KHushk jhulsi hui Tahniyan abr-paron ko hasrat
se takti rahin
wo kuchh mujh se kahne ko thin aur jhijakti rahin
kabhi sukh ke sae kabhi dukh ke dariya mera dil machalta raha
kahin phaile maidan kahin saKHt unchi chaTanon ke
uljhe hue silsile
magar meri manzil yahan bhi nahin thi wahan bhi nahin
main chalne pe majbur chalta raha
main har bar kuchh bhul aaya hun pichhe kahin
yunhi jaise KHud rah gaya hun kasi phul ke pas
chalte hue
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.