rahguzar
(thartharātā huā ehsās ke ġham-ḳhāne meñ
nargisī āñkhoñ kā ma.asūm sā shikvā din raat
ziist ke saath rahā kartā hai saa.e kī tarah
chand utre hue chehroñ kā taqāzā din raat)
shaam hotī hai to rotī haiñ nañdāsī āñkheñ
loriyāñ ruuTh ga.iiñ pyaar bharī baat ga.ī
sub.h aatī hai to kahtī haiñ nigāheñ uTh kar
kis liye din kā ujālā huā kyuuñ raat ga.ii)
(raushnī laa.e jo koī to kahāñ se laa.e
shām-e-ġham bhuul ga.ī sub.h-e-ḳhushī kā rasta
khoī khoī sī nigāhoñ meñ chamak hai phir bhī
ab bhī taktā hai koī jaise kisī kā rasta
paañv kāñToñ meñ haiñ tāroñ pe nazar hai ai dost)
(thartharaata hua ehsas ke gham-KHane mein
nargisi aankhon ka masum sa shikwa din raat
zist ke sath raha karta hai sae ki tarah
chand utre hue chehron ka taqaza din raat)
sham hoti hai to roti hain nandasi aankhen
loriyan ruTh gain pyar bhari baat gai
subh aati hai to kahti hain nigahen uTh kar
kis liye din ka ujala hua kyun raat gai)
(raushni lae jo koi to kahan se lae
sham-e-gham bhul gai subh-e-KHushi ka rasta
khoi khoi si nigahon mein chamak hai phir bhi
ab bhi takta hai koi jaise kisi ka rasta
panw kanTon mein hain taron pe nazar hai ai dost)
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 189)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.