rahiba
ai havā
tū ne mariyam kī ab tak
jo taqlīd kī kyoñ adhūrī rahī
us kī taqlīd jis ne zamīñ ke liye
ik masīhā janā
rāhiba
us kī taqlīd jis ne har ik aadmī kā girebāñ siyā
jis ne dhartī ke sūkhe daraḳhtoñ ko
apne lahū se na.ī zindagī baḳhsh dī
jis ne miTTī ke kachche diye ko
na.ī raushnī baḳhsh dī
ai havā
ik salīb ek maalā meñ lagī huī
pūchhtī hai tirī naaf chhūtī huī
kyā tire bas meñ hai
ki tū mariyam kī mānind masīhā jane
yā zamīñ ke kisī be-nasīb aadmī ke liye
raushnī kī kiran aur bārish bane
mujh ko mā'lūm hai
ki faqat chāñdnī se badan pe hai ye ek ujlī qabā
us pe 'mariyam' se tajdīd-e-‘ahd-e-vafā
marhabā
ai hawa
tu ne mariyam ki ab tak
jo taqlid ki kyon adhuri rahi
us ki taqlid jis ne zamin ke liye
ek masiha jana
rahiba
us ki taqlid jis ne har ek aadmi ka gireban siya
jis ne dharti ke sukhe daraKHton ko
apne lahu se nai zindagi baKHsh di
jis ne miTTi ke kachche diye ko
nai raushni baKHsh di
ai hawa
ek salib ek mala mein lagi hui
puchhti hai teri naf chhuti hui
kya tere bas mein hai
ki tu mariyam ki manind masiha jane
ya zamin ke kisi be-nasib aadmi ke liye
raushni ki kiran aur barish bane
mujh ko ma'lum hai
ki faqat chandni se badan pe hai ye ek ujli qaba
us pe 'mariyam' se tajdid-e-‘ahd-e-wafa
marhaba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.