zindagī ke ka.ī me.aar haiñ
varaq varaq
ik ruḳh-e-ehsās ko
fitrī aur masnūī sat.h par bāñTanā
apne aur parā.e ko
do dā.eroñ meñ taqsīm karnā
yā bārūd ke dhamākoñ meñ
zamīn ko TukḌe TukḌe karnā
zindagī barā.e zindagī ko mānñe vaale
vaqt kā kohrā chhaTte hī
āsthā ke aks phailā dete haiñ
pāgal ḳhayāl kī shiddat ghaT jaatī hai
us pal shāḳh-dar-shāḳh
phailne vaalī ḳhushbū
kisī ajnabī kalā.ī par
ek rākhī bāñdh detī hai
pal bhar meñ kaḌvī sachchā.iyāñ
rishtoñ kī tamām hadeñ toḌ kar
bhaa.ī bahan ke rishte meñ badal jaatī haiñ
zehn meñ maujūd tamām talḳhiyāñ
ḳhushnumā ehsās meñ
ḳhud-baḳhud Dhal jaatī haiñ
'imām-āzam' kī duā hai
be-misāl rishte kā ye bandhan
sadā qaa.em rahe
zindagi ke kai mear hain
waraq waraq
ek ruKH-e-ehsas ko
fitri aur masnui sath par banTana
apne aur parae ko
do daeron mein taqsim karna
ya barud ke dhamakon mein
zamin ko TukDe TukDe karna
zindagi barae zindagi ko manne wale
waqt ka kohra chhaTte hi
aastha ke aks phaila dete hain
pagal KHayal ki shiddat ghaT jati hai
us pal shaKH-dar-shaKH
phailne wali KHushbu
kisi ajnabi kalai par
ek rakhi bandh deti hai
pal bhar mein kaDwi sachchaiyan
rishton ki tamam haden toD kar
bhai bahan ke rishte mein badal jati hain
zehn mein maujud tamam talKHiyan
KHushnuma ehsas mein
KHud-baKHud Dhal jati hain
'imam-azam' ki dua hai
be-misal rishte ka ye bandhan
sada qaem rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.