rakhi
yūñhī dekhūñ jo rākhī ko to ye rangīn Dorā hai
jo dekhūñ ġhaur se is ko to hai zanjīr lohe kī
jo baḌh kar qaid kar letī hai aafat apne bhaa.ī kī
musībat kī haqīqat kyā
musībat aa nahīñ saktī
musībat kaañp jaatī hai
jo rākhī dekh letī hai
kisī bhaa.ī ke haath meñ
rākhī ke dhāge meñ
bahan ne pyaar bāñdhā hai
itihās meñ rākhī hai rishta bhaa.ī bahnoñ kā
havāla is meñ poshīda hai sadiyoñ ke rishtoñ kā
bañdhā hai pyaar is meñ bahan kā
aur us ke purkhoñ kā
rākhī
nibhānā laaj rākhī kī mire bhayyā
bahan kā maan rakh lenā
bañdhā kar haath meñ rākhī bahan se
har koī bhaa.ī
bahan ke sukh ke vāste
tayyār ho jaatā hai marne ko
magar bhayyā
tumhārī zindagī to
bahan ko dil se pyārī hai
salāmat tum raho
bhagvān se bintī hamārī hai
jo chāho neg tum denā
to mujh ko ye vachan de do
na uThe phir koī dīvār nafrat kī
bahan bhaa.ī ke āñgan meñ
nahīñ byopār kuchh is meñ
ye ik vyahvār hai bhayyā
nahīñ hai kachchā ye Dorā
tirā e.atibār hai bhayyā
yunhi dekhun jo rakhi ko to ye rangin Dora hai
jo dekhun ghaur se is ko to hai zanjir lohe ki
jo baDh kar qaid kar leti hai aafat apne bhai ki
musibat ki haqiqat kya
musibat aa nahin sakti
musibat kanp jati hai
jo rakhi dekh leti hai
kisi bhai ke hath mein
rakhi ke dhage mein
bahan ne pyar bandha hai
itihas mein rakhi hai rishta bhai bahnon ka
hawala is mein poshida hai sadiyon ke rishton ka
bandha hai pyar is mein bahan ka
aur us ke purkhon ka
rakhi
nibhana laj rakhi ki mere bhayya
bahan ka man rakh lena
bandha kar hath mein rakhi bahan se
har koi bhai
bahan ke sukh ke waste
tayyar ho jata hai marne ko
magar bhayya
tumhaari zindagi to
bahan ko dil se pyari hai
salamat tum raho
bhagwan se binti hamari hai
jo chaho neg tum dena
to mujh ko ye wachan de do
na uThe phir koi diwar nafrat ki
bahan bhai ke aangan mein
nahin byopar kuchh is mein
ye ek wyahwar hai bhayya
nahin hai kachcha ye Dora
tera eatibar hai bhayya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.