rashida-baji aur ek laDki
rāshida-bājī ne chup se muñh par mire
ek thappaḌ jo maarā to maiñ hañs paḌī
de ke phir ek ghūñsā unhoñ ne kahā
kaan khīñchūñ tumhārā to maiñ hañs paḌī
sab dalīleñ jo un kī thiiñ ma.aqūl thiiñ
aur mujhe pīTne meñ vo mashġhūl thiiñ
bhūkī ik bakrī chupke se jab char ga.ī
aa ke un kā ġharāra to maiñ hañs paḌī
un kā burqā bandariyā ko pahnā diyā
pars bandar ke hāthoñ meñ pakḌā diyā
jab vo ye kah ke ghabrā ke rone lagīñ
haa.e burqā hamārā to maiñ hañs paḌī
khā ga.ī iid kī vo sivayyāñ mirī
mujh se bolīñ ki khā le tū bayyāñ mirī
maare ġhusse ke jhaT āstīnoñ ko jab
bāzūoñ se utārā to maiñ hañs paḌī
rāshida-bājī sun lo namāzī bhī haiñ
vo mujāhid bhī haiñ aur ġhāzī bhī haiñ
bāñdh kar sar pe paggaḌ unhoñ ne jūñhī
dushmanoñ ko pukārā to maiñ hañs paḌī
rashida-baji ne chup se munh par mere
ek thappaD jo mara to main hans paDi
de ke phir ek ghunsa unhon ne kaha
kan khinchun tumhaara to main hans paDi
sab dalilen jo un ki thin maqul thin
aur mujhe piTne mein wo mashghul thin
bhuki ek bakri chupke se jab char gai
aa ke un ka gharara to main hans paDi
un ka burqa bandariya ko pahna diya
pars bandar ke hathon mein pakDa diya
jab wo ye kah ke ghabra ke rone lagin
hae burqa hamara to main hans paDi
kha gai id ki wo siwayyan meri
mujh se bolin ki kha le tu bayyan meri
mare ghusse ke jhaT aastinon ko jab
bazuon se utara to main hans paDi
rashida-baji sun lo namazi bhi hain
wo mujahid bhi hain aur ghazi bhi hain
bandh kar sar pe paggaD unhon ne junhi
dushmanon ko pukara to main hans paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.