rasta bulata hai
rang bujhne lage haiñ āñkhoñ meñ
buildiñgeñ jugnuoñ sī lagtī haiñ
chāñd taare kahāñ haiñ kyā mā'lūm
laḌkiyāñ phuul se badan vaalī
ik zarā paas se guzartī huī
jo mirā dard baañT letī haiñ
so chukī hoñgī apnī qabroñ meñ
ab kahīñ zindagī kā naam nahīñ
bhuuk ne paañv bāñdh rakkhe haiñ
phir bhī chalne pe huuñ ba-zid ki abhī
chañd lāsheñ haiñ hasratoñ kī jinheñ
sub.h se pahle dafn karnā hai
bojh kuchh kam ho to kahīñ baiThūñ
aur phir baiThe-baiThe so jā.ūñ
phir koī ḳhvāb dekhūñ kal ke liye
abhī ik roz aur jiinā hai
rang bujhne lage hain aankhon mein
buildingen jugnuon si lagti hain
chand tare kahan hain kya ma'lum
laDkiyan phul se badan wali
ek zara pas se guzarti hui
jo mera dard banT leti hain
so chuki hongi apni qabron mein
ab kahin zindagi ka nam nahin
bhuk ne panw bandh rakkhe hain
phir bhi chalne pe hun ba-zid ki abhi
chand lashen hain hasraton ki jinhen
subh se pahle dafn karna hai
bojh kuchh kam ho to kahin baiThun
aur phir baiThe-baiThe so jaun
phir koi KHwab dekhun kal ke liye
abhi ek roz aur jina hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 120)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.