rasta jo ujalon ki taraf jata hai
rāsta vo jo ujāloñ kī taraf jaatā hai
ḳhūbsūrat se ḳhayāloñ kī taraf jaatā hai
us taraf jā na sakī thī vo bhaTak jaane se
ghir ke sau tarah kī ḳhvāhish meñ bahak jaane se
kaise daldal meñ thī vo kaise ghane ban meñ thī
kaisī mushkil meñ thī kis tarah kī uljhan meñ thī
raah pur-ḳhār thī bachnā thā kaThin dāman kā
choT aa.ī vo burā haal huā tan man kā
vo pareshān thī ghere the use Dheroñ ġham
thā yaqīñ us ko ġhalat raah pe haiñ us ke qadam
DhūñDne par use vo raah nazar aa hī ga.ī
ek din manzil-e-maqsūd ko vo pā hī ga.ī
raah mil jaane se hairān-o-hirāsāñ dil ko
ik tasallī milī muddat se pareshāñ dil ko
raat kuchh yuuñ shab-e-mahtāb huī hai us kī
ruuh ik umr meñ sairāb huī hai us kī
mushkil un ke liye āsān huā kartī hai
rāstoñ kī jinheñ pahchān huā kartī hai
rasta wo jo ujalon ki taraf jata hai
KHubsurat se KHayalon ki taraf jata hai
us taraf ja na saki thi wo bhaTak jaane se
ghir ke sau tarah ki KHwahish mein bahak jaane se
kaise daldal mein thi wo kaise ghane ban mein thi
kaisi mushkil mein thi kis tarah ki uljhan mein thi
rah pur-KHar thi bachna tha kaThin daman ka
choT aai wo bura haal hua tan man ka
wo pareshan thi ghere the use Dheron gham
tha yaqin us ko ghalat rah pe hain us ke qadam
DhunDne par use wo rah nazar aa hi gai
ek din manzil-e-maqsud ko wo pa hi gai
rah mil jaane se hairan-o-hirasan dil ko
ek tasalli mili muddat se pareshan dil ko
raat kuchh yun shab-e-mahtab hui hai us ki
ruh ek umr mein sairab hui hai us ki
mushkil un ke liye aasan hua karti hai
raston ki jinhen pahchan hua karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.