maiñ jāntī huuñ ki maut ke ka.ī rāste haiñ
jaise
rail kī paTrī
samundar
aur terī badlī huī jhiil sī āñkheñ
magar zindagī kā ek hī rāsta hai
ḳhāmoshī
fāsla zarūrī hai
maiñ rozāna daftar meñ tāḳhīr se pahuñchtī huuñ
aur apnī zanjīr pahan kar baiTh jaatī huuñ
maiñ
Typewriter par hāthoñ kā ġhalat isti.māl nahīñ kartī
chhe bajte hī
paañv kī zanjīr gale meñ aa jaatī hai
aur maiñ
stop par khaḌī
basoñ aur rikshoñ ke dhueñ meñ hotī huī sāzish ko dekh saktī huuñ
maiñ jis bas meñ bebas huuñ
vahāñ shor ghabrāhaT pasīna aur ġhussa bharā huā hai
ġhusse se bharī huī bas
mujhe ghar se kuchh fāsle par utaar detī hai
maiñ jaatī huī bas ko hairat se dekhtī huuñ
bas ke pīchhe likhā hai
fāsla zarūrī hai
bas ke pīchhe jo likhā hai
us kā itlāq bas ke andar kyuuñ nahīñ hotā
main jaanti hun ki maut ke kai raste hain
jaise
rail ki paTri
samundar
aur teri badli hui jhil si aankhen
magar zindagi ka ek hi rasta hai
KHamoshi
fasla zaruri hai
main rozana daftar mein taKHir se pahunchti hun
aur apni zanjir pahan kar baiTh jati hun
main
Typewriter par hathon ka ghalat istimal nahin karti
chhe bajte hi
panw ki zanjir gale mein aa jati hai
aur main
stop par khaDi
bason aur rikshon ke dhuen mein hoti hui sazish ko dekh sakti hun
main jis bas mein bebas hun
wahan shor ghabrahaT pasina aur ghussa bhara hua hai
ghusse se bhari hui bas
mujhe ghar se kuchh fasle par utar deti hai
main jati hui bas ko hairat se dekhti hun
bas ke pichhe likha hai
fasla zaruri hai
bas ke pichhe jo likha hai
us ka itlaq bas ke andar kyun nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.