raste mein ek ganw
chhe yā saat purāne ghar aapas meñ mil kar baiThe the
ik TūTe-phūTe chhakḌe meñ ik do kutte uuñgh rahe the
pīpal ke ik peḌ ke nīche kuchh bhaiñseñ ḳhāmosh khaḌī thiiñ
do chīleñ sūkhe khetoñ par par phailā.e tair rahī thiiñ
dhuul uḌaa.e jaatā thā rasta kachchā
car ke pīchhe bhaag rahā thā ik bachcha
chhe ya sat purane ghar aapas mein mil kar baiThe the
ek TuTe-phuTe chhakDe mein ek do kutte ungh rahe the
pipal ke ek peD ke niche kuchh bhainsen KHamosh khaDi thin
do chilen sukhe kheton par par phailae tair rahi thin
dhul uDae jata tha rasta kachcha
car ke pichhe bhag raha tha ek bachcha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 134)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.