raste
ab talak un nigāhoñ meñ mahfūz haiñ
sīdhe-sāde vo vīrān se rāste
apne hamrāz apne shanāsā
apne dukh apne sukh donoñ pahchānte
ūñghte jāgte Thaharte bhāgte
bhīge bhīge vo hairān se rāste
dekhte dekhte ek pul ban gayā
aur samundar kā paanī simaT kar samundar se phir mil gayā
dhuup se tap ke miTTī kā giilā badan jaag uThā tan gayā
ghar humakne lage log basne lage
rañg lau de uThe phuul hañsne lage
ab kahīñ koī tanhā saḌak koī vīrān konā ubhartā nahīñ
koī dildār saaya bulātā nahīñ koī ġham-ḳhvār rasta nikaltā nahīñ
ab talak un nigahon mein mahfuz hain
sidhe-sade wo viran se raste
apne hamraaz apne shanasa
apne dukh apne sukh donon pahchante
unghte jagte Thaharte bhagte
bhige bhige wo hairan se raste
dekhte dekhte ek pul ban gaya
aur samundar ka pani simaT kar samundar se phir mil gaya
dhup se tap ke miTTi ka gila badan jag uTha tan gaya
ghar humakne lage log basne lage
rang lau de uThe phul hansne lage
ab kahin koi tanha saDak koi viran kona ubharta nahin
koi dildar saya bulata nahin koi gham-KHwar rasta nikalta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.