raat aur din
raat aa.ī hai hazāroñ dukh liye
vaqt ke be-rahm qadmoñ ke tale
phuul rauñde jā chuke haiñ ḳhvāb ke
zaḳhm taaza haiñ dil-e-betāb ke
raushnī baḌhne lagī din aa gayā
din ke hoñToñ par koī mantar hai kyā
ek raunaq lag ga.ī hai shahr meñ
ham bhī shāmil ho ga.e is lahr meñ
bhuul kar azalī dukhoñ ke silsile
dil meñ jiine ke haiñ taaza valvale
raat aai hai hazaron dukh liye
waqt ke be-rahm qadmon ke tale
phul raunde ja chuke hain KHwab ke
zaKHm taza hain dil-e-betab ke
raushni baDhne lagi din aa gaya
din ke honTon par koi mantar hai kya
ek raunaq lag gai hai shahr mein
hum bhi shamil ho gae is lahr mein
bhul kar azali dukhon ke silsile
dil mein jine ke hain taza walwale
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 88)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.