raat aur sita
añdhiyāre kī kaalī maTiyā man ko phāḌe khā.eñ
shamshānoñ ke haagh Dakāreñ andhe kuñ.eñ bulā.eñ
pagDanDī ke shesh naag jī pag pag Daste jaa.eñ
peḌ rākshas bādal rāvan ghar bhutne ban jaa.eñ
dhyān ke andar path pe biitī ghaḌiyāñ uḌtī aa.eñ
maiñ siitā ban-bās ko niklī birah kī agnī jalā.e
aage aage raam jī nāhīñ pīchhe lachhman naa.e
andhiyare ki kali maTiya man ko phaDe khaen
shamshanon ke hagh Dakaren andhe kunen bulaen
pagDanDi ke shesh nag ji pag pag Daste jaen
peD rakshas baadal rawan ghar bhutne ban jaen
dhyan ke andar path pe biti ghaDiyan uDti aaen
main sita ban-bas ko nikli birah ki agni jalae
aage aage ram ji nahin pichhe lachhman nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.