raat
dayār-e-shab hai ki ik peḌ kaale pattoñ kā
ki jis ke saa.e tale sub.h se bhaTakte badan
dukhoñ kī chādaroñ meñ ḳhvāb bo ke so.e haiñ
vo ḳhvāb jin kī ta.abīroñ
pe dastaras hī nahīñ
vo ḳhvāb jo ki faqat
siyāhiyoñ meñ palte haiñ
vo ḳhvāb jo ki har ik sub.h-o-shām saath chaleñ
vo ḳhvāb jo ki har ik sub.h-o-shām saath raheñ
mire vo ḳhvāb kabhī jhilmilāte aañsū haiñ
kabhī vo mahz siyāh rāstoñ ke jugnū haiñ
magar
ye ḳhvāb bhī na hoñ to zindagī kyā hai
dayar-e-shab hai ki ek peD kale patton ka
ki jis ke sae tale subh se bhaTakte badan
dukhon ki chadaron mein KHwab bo ke soe hain
wo KHwab jin ki tabiron
pe dastaras hi nahin
wo KHwab jo ki faqat
siyahiyon mein palte hain
wo KHwab jo ki har ek subh-o-sham sath chalen
wo KHwab jo ki har ek subh-o-sham sath rahen
mere wo KHwab kabhi jhilmilate aansu hain
kabhi wo mahz siyah raston ke jugnu hain
magar
ye KHwab bhi na hon to zindagi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.