raat har bar liye
raat har baar liye
ḳhauf ke ḳhālī paikar
ḳhuuñ mirā māñgne
be-ḳhauf chalī aatī hai
aur jaltī huī āñkhoñ ke
tahayyur ke tale
ek sannāTā
bahut shor kiyā kartā hai
kuchh to kaTtā hai
taḌaptā hai
bahātā hai lahū
aur khul jaate haiñ
reshoñ ke purāne baḳhiye
raat har baar mirī
jāgtī palkeñ chun kar
andhe gumnām darīchoñ pe
sajā jaatī hai
aur dhundlā.e hue
gard-zada rastoñ meñ
ek aahaT kā sirā hai
jo nahīñ miltā hai
āsmāñ giilī chaTānoñ pe
Tikā.e chehra
siskiyāñ letā hai
sahme hue bachche kī tarah
aur darīchoñ pe dharī
kāñptī palkeñ merī
gul-zamīnoñ ke na.e
ḳhvāb bunā kartī haiñ
raat har bar liye
KHauf ke KHali paikar
KHun mera mangne
be-KHauf chali aati hai
aur jalti hui aankhon ke
tahayyur ke tale
ek sannaTa
bahut shor kiya karta hai
kuchh to kaTta hai
taDapta hai
bahata hai lahu
aur khul jate hain
reshon ke purane baKHiye
raat har bar meri
jagti palken chun kar
andhe gumnam darichon pe
saja jati hai
aur dhundlae hue
gard-zada raston mein
ek aahaT ka sira hai
jo nahin milta hai
aasman gili chaTanon pe
Tikae chehra
siskiyan leta hai
sahme hue bachche ki tarah
aur darichon pe dhari
kanpti palken meri
gul-zaminon ke nae
KHwab buna karti hain
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.