raat ka KHatm qissa karo
jidhar dekhtā huuñ udhar
ko.ele ke pahāḌoñ kā ik silsila hai
jise raat khā kar
kisī kaalī Dāyan kī sūrat bhayānak huī jā rahī hai
bahādur jo do chaar baḌhte haiñ us kī taraf
apne hāthoñ meñ mash.al liye
un ko ik ek kar ke nigaltī chalī jā rahī hai
kahāñ ho ujāle ke rakhvālo aage baḌho
apne hāthoñ meñ tesha liye
mil ke ik saath sab
ko.ele ke pahāḌoñ pe hamla karo
apne hāthoñ meñ mash.al liye raat par vaar aisā karo
raat kā ḳhatm qissa karo
varna dhartī kisī roz vīrān ho jā.egī
ko.ele ke pahāḌoñ ke pīchhe kahīñ
sub.h ghuT-ghuT ke mar jā.egī
raat sab ko nigal jā.egī
jidhar dekhta hun udhar
koele ke pahaDon ka ek silsila hai
jise raat kha kar
kisi kali Dayan ki surat bhayanak hui ja rahi hai
bahadur jo do chaar baDhte hain us ki taraf
apne hathon mein mashal liye
un ko ek ek kar ke nigalti chali ja rahi hai
kahan ho ujale ke rakhwalo aage baDho
apne hathon mein tesha liye
mil ke ek sath sab
koele ke pahaDon pe hamla karo
apne hathon mein mashal liye raat par war aisa karo
raat ka KHatm qissa karo
warna dharti kisi roz viran ho jaegi
koele ke pahaDon ke pichhe kahin
subh ghuT-ghuT ke mar jaegi
raat sab ko nigal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.