raat ka rahi
raat kī kaalī saḌak par raushnī kā dā.era
ek tanhā chaap jaise ho musāfir kī sadā
ye qadam pur-azm the us raushnī kī samt meñ
par hisār-e-raushnī meñ sust yuuñ paḌte ga.e
tīrgī ke is safar meñ raushnī kā ye paḌāv
rāh-rau ke vāste ik dāvat-e-ārām ho
raushnī kī had pe jā kar is tarah ThiTke qadam
tīrgī meñ Dūbnā un ko gavārā phir na ho
ek siskī kī tarah rukte hue phir chal paḌe
ik thake lahje meñ baḌh kar kho ga.ī qadmoñ kī chaap
raat ki kali saDak par raushni ka daera
ek tanha chap jaise ho musafir ki sada
ye qadam pur-azm the us raushni ki samt mein
par hisar-e-raushni mein sust yun paDte gae
tirgi ke is safar mein raushni ka ye paDaw
rah-rau ke waste ek dawat-e-aram ho
raushni ki had pe ja kar is tarah ThiTke qadam
tirgi mein Dubna un ko gawara phir na ho
ek siski ki tarah rukte hue phir chal paDe
ek thake lahje mein baDh kar kho gai qadmon ki chap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.