raat ka taj
shahr kī galiyoñ ke raushan zāviye
raat kī tanhā.iyoñ ke ham-safar
āsmāñ ke niile niile hāshiye
chāñd kī rānā.iyoñ ke nauhagar
tīrgī lipTī huī dīvār se
sub.h kī tābāniyoñ kī muntazir
rāstoñ ke pech o ḳham bāzār se
lauT kar aa.e hoñ jaise baar baar
ek vīrānī hai merī ġham-gusār
kuchh siyah kuchh surḳh kuchh ḳhākistarī
rañg ke kuttoñ pe ujlī dhāriyāñ
jin kī shiryānoñ meñ shorīda-sarī
aur daryūza-garī kā imtizāj
ye samāñ aur raat kī jādūgarī
chāñd kā le kar chalī hāthoñ meñ taaj
shahr ki galiyon ke raushan zawiye
raat ki tanhaiyon ke ham-safar
aasman ke nile nile hashiye
chand ki ranaiyon ke nauhagar
tirgi lipTi hui diwar se
subh ki tabaniyon ki muntazir
raston ke pech o KHam bazar se
lauT kar aae hon jaise bar bar
ek virani hai meri gham-gusar
kuchh siyah kuchh surKH kuchh KHakistari
rang ke kutton pe ujli dhaariyan
jin ki shiryanon mein shorida-sari
aur daryuza-gari ka imtizaj
ye saman aur raat ki jadugari
chand ka le kar chali hathon mein taj
- Book : khvaab numaa (Pg. 22)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.