raat ki aankh mein ek KHanjar uga
raat kī aañkh meñ ek ḳhanjar ugā
raat kaalī hai ujlī hai piilī hai niilī hai yā phir
raat kā koī rañg hī nahīñ hai
magar jo bhī ho raat kaalī hai aisā samajh lījiye
raat kaalī hai bahtī hai jaise nadī andhe paanī kī kohre kī yā dhuñd kī
raat kī aañkh meñ ek ḳhanjar ugā
ek vahshī parinde ne ḳhanjar kā bosa liyā
nok-e-ḳhanjar parinde kī āñkhoñ meñ sāzish kā nasha machā
ḳhvāb kī dhuñd andhī nadī zard sho.ala banī aur bahtī rahī
phir kahīñ zard rañgoñ ke patthar kī bārish parā.e shahr meñ ravāna huī
rāhatoñ ke makāñ ke muñDeroñ se rāhat ke kavve uThe
shor kī kañkarī se kueñ bhī bhare aa.ina aa.ina sī fazā bhī jalī
ek qisse kī anti purānī na.ī phir kahīñ buum kā āshiyāna banī
raat kī aañkh meñ ek ḳhanjar ugā
raat ki aankh mein ek KHanjar uga
raat kali hai ujli hai pili hai nili hai ya phir
raat ka koi rang hi nahin hai
magar jo bhi ho raat kali hai aisa samajh lijiye
raat kali hai bahti hai jaise nadi andhe pani ki kohre ki ya dhund ki
raat ki aankh mein ek KHanjar uga
ek wahshi parinde ne KHanjar ka bosa liya
nok-e-KHanjar parinde ki aankhon mein sazish ka nasha macha
KHwab ki dhund andhi nadi zard shoala bani aur bahti rahi
phir kahin zard rangon ke patthar ki barish parae shahr mein rawana hui
rahaton ke makan ke munDeron se rahat ke kawwe uThe
shor ki kankari se kuen bhi bhare aaina aaina si faza bhi jali
ek qisse ki anti purani nai phir kahin bum ka aashiyana bani
raat ki aankh mein ek KHanjar uga
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 701)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.