raat ki aziyyat
raat behad chup hai aur us kā añdherā sharmagīñ
shaam paḌte hī damakte the jo rañgoñ ke nagīñ
duur tak bhī ab kahīñ un kā nishāñ miltā nahīñ
ab to baḌhtā aa.egā ghanghor bādal chaah kā
us meñ bahtī aa.egī ik madh-bharī mīThī sadā
dil ke suune shahr meñ gūñje gā naġhma chaah kā
raat ke parde meñ chhup kar ḳhuuñ rulātī chāhto
is qadar kyuuñ duur ho mujh se zarā ye to kaho
mere paas aa kar kabhī merī kahānī bhī suno
siskiyāñ letī havā.eñ kah rahī haiñ ''chup raho''
raat behad chup hai aur us ka andhera sharmagin
sham paDte hi damakte the jo rangon ke nagin
dur tak bhi ab kahin un ka nishan milta nahin
ab to baDhta aaega ghanghor baadal chah ka
us mein bahti aaegi ek madh-bhari miThi sada
dil ke sune shahr mein gunje ga naghma chah ka
raat ke parde mein chhup kar KHun rulati chahto
is qadar kyun dur ho mujh se zara ye to kaho
mere pas aa kar kabhi meri kahani bhi suno
siskiyan leti hawaen kah rahi hain chup raho
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.