raat ki baat
chūḌiyāñ bajtī haiñ chhāgal kī sadā aatī hai
fart-e-betābī se uTh uTh ke nazar baiTh ga.ī
thaam kar aas har aahaT pe jigar baiTh ga.ī
merā ġham-ḳhāna ibārat rahā tārīkī se
mauj-e-mahtāb kahāñ ḳhāk-ba-sar baiTh ga.ī
shabnam-ālūd huā jaatā hai shab kā dāmāñ
taare chamke haiñ ki ab gard-e-safar baiTh ga.ī
bhīgtī raat nahā kar mire ashk-e-ḳhūñ meñ
jaane ko uTThī hī thī uTh ke magar baiTh ga.ī
us ne dekhā ki mirī raanī lajātī aa.ī
āñkheñ maltī huī fitnoñ ko jagātī aa.ī
sar se Dhalkā huā āñchal shikan-ālūd libās
chhaḌī āñkhoñ meñ machaltī huī nīndoñ kī jhalak
so ga.ī thī zarā ḳhud sab ko sulāte shāyad
niiñd kachchī thī ki dī va.ade ne dil par dastak
chauñk kar uTThī to dekhā ki sitāre ban kar
auj-e-aflāk pe hai maañg kī afshāñ kī damak
shīsha-e-mah se chhalak kar mai-e-tund-o-be-dard
us ke māthe se churā letī hai sone kī Dalak
chūḌiyāñ hāthoñ meñ thāme chalī haule haule
kar de ġhammāzī mubādā kahīñ chhāgal kī chhanak
surḳhī Tiike kī jabīñ par zarā phailī phailī
jis tarah jaam se kuchh thoḌī sī mai jaa.e chhalak
''zulfeñ yuuñ chehre pe bikhrī huī māñgeñ thiiñ dil
jis tarah ek khilaune pe miTeñ do bālak''
jis tarah ġham-ḳhāne pe pahuñchī to kuchh aayā jo ḳhayāl
chūḌiyāñ chhoḌ diiñ chhāgal bhī hañsī chhānā-chhanak
fikr hai aa.ī to hai niiñd kī gomātī hai
chūḌiyāñ bajtī haiñ chhāgal kī sadā aatī hai
chuDiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai
fart-e-betabi se uTh uTh ke nazar baiTh gai
tham kar aas har aahaT pe jigar baiTh gai
mera gham-KHana ibarat raha tariki se
mauj-e-mahtab kahan KHak-ba-sar baiTh gai
shabnam-alud hua jata hai shab ka daman
tare chamke hain ki ab gard-e-safar baiTh gai
bhigti raat naha kar mere ashk-e-KHun mein
jaane ko uTThi hi thi uTh ke magar baiTh gai
us ne dekha ki meri rani lajati aai
aankhen malti hui fitnon ko jagati aai
sar se Dhalka hua aanchal shikan-alud libas
chhaDi aankhon mein machalti hui nindon ki jhalak
so gai thi zara KHud sab ko sulate shayad
nind kachchi thi ki di wade ne dil par dastak
chaunk kar uTThi to dekha ki sitare ban kar
auj-e-aflak pe hai mang ki afshan ki damak
shisha-e-mah se chhalak kar mai-e-tund-o-be-dard
us ke mathe se chura leti hai sone ki Dalak
chuDiyan hathon mein thame chali haule haule
kar de ghammazi mubaada kahin chhagal ki chhanak
surKHi Tike ki jabin par zara phaili phaili
jis tarah jam se kuchh thoDi si mai jae chhalak
zulfen yun chehre pe bikhri hui mangen thin dil
jis tarah ek khilaune pe miTen do baalak
jis tarah gham-KHane pe pahunchi to kuchh aaya jo KHayal
chuDiyan chhoD din chhagal bhi hansi chhana-chhanak
fikr hai aai to hai nind ki gomati hai
chuDiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.