raat, mamul aur hum
apne saa.e se bhī ghabrā.eñge
ek pal chain nahīñ pā.eñge
sochte sochte thak jā.eñge
hāñpte-kāñpte chal kar āḳhir
tere darvāze pe dastak deñge
tū hameñ dekh ke maġhmūm-o-malūl
apnī bāñhoñ kā sahārā degī
aur ham chain se so jā.eñge
kal ye saaya hameñ phir ghere gā
kal yahī fikr hameñ khā.egī
aur ham phir isī bojhal ġham kī
apne siine meñ kasak pā.eñge
aur tū phir hameñ pā kar lāchār
apnī bāñhoñ kā sahārā degī
aur ham chain se so jā.eñge!
apne sae se bhi ghabraenge
ek pal chain nahin paenge
sochte sochte thak jaenge
hanpte-kanpte chal kar aaKHir
tere darwaze pe dastak denge
tu hamein dekh ke maghmum-o-malul
apni banhon ka sahaara degi
aur hum chain se so jaenge
kal ye saya hamein phir ghere ga
kal yahi fikr hamein khaegi
aur hum phir isi bojhal gham ki
apne sine mein kasak paenge
aur tu phir hamein pa kar lachaar
apni banhon ka sahaara degi
aur hum chain se so jaenge!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 14)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.