raat phir dard bani
āsmāñ TuuTā huā chāñd
hathelī pe liye hañstā hai
raat āzurda sitāroñ se suḳhan kartī huī
rahguzāroñ pe dabe paañv chalī aa.ī hai
bhiig jaatī hai kisī aañkh meñ aañsū ban kar
phail jaatī hai kisī yaad kī ḳhushbū bin kar
kahīñ TuuTe hue paimān-e-vafā joḌtī hai
mauj-e-mai ban ke chhalak paḌtī hai paimānoñ se
dil kā ahvāl sunā kartī hai dīvānoñ se
āsmāñ chāñd se ḳhālī huā
aur ab koī sitāra bhī to raḳhshanda nahīñ
raat be-nūr guzar-gāhoñ pe chalte hue
afsurda hai nam-dīda hai
ek sannāTā tarastā huā āvāzoñ ko
be-ziyā kartā huā raat kī mehrāboñ ko
aasman TuTa hua chand
hatheli pe liye hansta hai
raat aazurda sitaron se suKHan karti hui
rahguzaron pe dabe panw chali aai hai
bhig jati hai kisi aankh mein aansu ban kar
phail jati hai kisi yaad ki KHushbu bin kar
kahin TuTe hue paiman-e-wafa joDti hai
mauj-e-mai ban ke chhalak paDti hai paimanon se
dil ka ahwal suna karti hai diwanon se
aasman chand se KHali hua
aur ab koi sitara bhi to raKHshanda nahin
raat be-nur guzar-gahon pe chalte hue
afsurda hai nam-dida hai
ek sannaTa tarasta hua aawazon ko
be-ziya karta hua raat ki mehrabon ko
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 242)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.