raat
āñdhiyāñ āsmānoñ kā nauha zamīñ ko sunātī haiñ
apnī gulū-gīr āvāz meñ kah rahī haiñ,
daraḳhtoñ kī chiñghāḌ
nīchī chhatoñ par ye raqs āsmānī bagūloñ kā
ūñchī chhatoñ ke tale khele jaate Darāma kā manzar hai
ye us zulm kā isti.āra hai
jo shah-e-rag se hābīl kī garm o taaza lahū ban ke ublā hai
āñdhiyoñ meñ thā ik shor-e-karb-o-balā
aur maiñ ne sunā karbalā...karbalā
raat ke saham se, an-kahe vahm se
band āñkhoñ meñ vahshat zada ḳhvāb utrā
subah aḳhbār kī surḳhiyāñ ban gayā
aandhiyan aasmanon ka nauha zamin ko sunati hain
apni gulu-gir aawaz mein kah rahi hain,
daraKHton ki chinghaD
nichi chhaton par ye raqs aasmani bagulon ka
unchi chhaton ke tale khele jate Darama ka manzar hai
ye us zulm ka istiara hai
jo shah-e-rag se habil ki garm o taza lahu ban ke ubla hai
aandhiyon mein tha ek shor-e-karb-o-bala
aur main ne suna karbalakarbala
raat ke saham se, an-kahe wahm se
band aankhon mein wahshat zada KHwab utra
subah aKHbar ki surKHiyan ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.