rawi kinare
Interesting Fact
A beautiful river Ravi that runs past Lahore
mast havā jab sāvan kī añgḌā.ī le kar aatī hai
aur falak par kaalī kaalī badlī jab chhā jaatī hai
chham-chham chham-chham nannhī būñdeñ iThlā kar jab aatī haiñ
prem kī halkī tānoñ meñ raavī kī lahreñ gaatī haiñ
bhīge bhīge sāvan meñ jab koyal kuuk sunātī hai
paa.el kī jhankāroñ kī jab dhīmī aahaT aatī hai
us vaqt kināre raavī ke ik dilkash manzar hotā hai
pichhle pahar jab dhīmī dhīmī ThanDī havā.eñ aatī haiñ
gaañv kī sundar āñkhoñ vaalī paanī bharne jaatī haiñ
prem ke mandir meñ gañgā-jal koī chaḌhāne jaatī hai
devī ke charnoñ meñ koī mīThe bol sunātī hai
raavī kī lahroñ meñ chhup kar murlī koī bajātā hai
jañgal kī ḳhāmosh fazā meñ amrit-ras barsātā hai
us vaqt kināre raavī ke ik dilkash manzar hotā hai
sabza phuul patāvar ġhunche aur naġhme so jaate haiñ
dhartī par ākāsh se jab ma.asūm farishte aate haiñ
shaam huī mandir meñ dekho ghanTe log bajāte haiñ
raat huī bailoñ ko le kar harvāhe ab jaate haiñ
halkī halkī būñdoñ meñ jab duniyā sāvan gaatī hai
harī-bharī shāḳhoñ meñ chhup kar koyal kuuk sunātī hai
kuchh din ke bichhḌe hue sāthī hañs ke gale jab milte haiñ
chāñdnī rātoñ meñ ġhunche jab chaTak chaTak kar khilte haiñ
us vaqt kināre raavī ke ik dilkash manzar hotā hai
mast hawa jab sawan ki angDai le kar aati hai
aur falak par kali kali badli jab chha jati hai
chham-chham chham-chham nannhi bunden iThla kar jab aati hain
prem ki halki tanon mein rawi ki lahren gati hain
bhige bhige sawan mein jab koyal kuk sunati hai
pael ki jhankaron ki jab dhimi aahaT aati hai
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
pichhle pahar jab dhimi dhimi ThanDi hawaen aati hain
ganw ki sundar aankhon wali pani bharne jati hain
prem ke mandir mein ganga-jal koi chaDhane jati hai
dewi ke charnon mein koi miThe bol sunati hai
rawi ki lahron mein chhup kar murli koi bajata hai
jangal ki KHamosh faza mein amrit-ras barsata hai
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
sabza phul patawar ghunche aur naghme so jate hain
dharti par aakash se jab masum farishte aate hain
sham hui mandir mein dekho ghanTe log bajate hain
raat hui bailon ko le kar harwahe ab jate hain
halki halki bundon mein jab duniya sawan gati hai
hari-bhari shaKHon mein chhup kar koyal kuk sunati hai
kuchh din ke bichhDe hue sathi hans ke gale jab milte hain
chandni raaton mein ghunche jab chaTak chaTak kar khilte hain
us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.