shaam o sahar ke manzar gahrī udāsiyoñ ke
parde girā rahe haiñ
vāqif to thiiñ hamesha un se merī nigāheñ
oḌhe na thiiñ fazā.eñ
yuuñ kohar kī abā.eñ
kuchh thā jo kho gayā hai?
shāḳh-e-nazar pe dahkā
barg-e-hinā kā shola
yuuñ kāñptā hai jaise
miTtā koī hayūlā
shaam o sahar se koī mafrūr ho gayā hai?
siine meñ maiñ taqātur
būñdoñ kā sun rahā huuñ
ik ḳhvāb bun rahā huuñ
is meñ kise bulāne?
be-nām aarzū kā ye raaz kaun jaane
sham o sahar ke manzar gahri udasiyon ke
parde gira rahe hain
waqif to thin hamesha un se meri nigahen
oDhe na thin fazaen
yun kohar ki abaen
kuchh tha jo kho gaya hai?
shaKH-e-nazar pe dahka
barg-e-hina ka shola
yun kanpta hai jaise
miTta koi hayula
sham o sahar se koi mafrur ho gaya hai?
sine mein main taqatur
bundon ka sun raha hun
ek KHwab bun raha hun
is mein kise bulane?
be-nam aarzu ka ye raaz kaun jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.