shām-o-sahar ke manzar gahrī udāsiyoñ ke
parde girā rahe haiñ
vāqif to thiiñ hamesha un se merī nigāheñ
oḌhe na thiiñ fazā.eñ
yuuñ kohar kī abā.eñ
kuchh to jo kho gayā hai
shāḳh-e-nazar pe dahkā
barg-e-hinā kā sho.ala
yuuñ kāñptā hai jaise
miTtā koī hayūlā
shām-o-sahar se koī mafrūr ho gayā hai
siine meñ maiñ taqātur
sham-o-sahar ke manzar gahri udasiyon ke
parde gira rahe hain
waqif to thin hamesha un se meri nigahen
oDhe na thin fazaen
yun kohar ki abaen
kuchh to jo kho gaya hai
shaKH-e-nazar pe dahka
barg-e-hina ka shoala
yun kanpta hai jaise
miTta koi hayula
sham-o-sahar se koi mafrur ho gaya hai
sine mein main taqatur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.