rad
ai vādī-e-ḳhushk-o-sabz parbat
tū apnī ḳhushbū se Dar rahī hai
tire sahīfa-numā badan par
ye kaisī aayat utar rahī hai
tire fusūñ-nāk rāstoñ par
ghanerī rut kī masāfateñ haiñ
fazā.eñ pahroñ meñ baT chukī haiñ
havāoñ tak meñ adāvateñ haiñ
sukūt-e-zindāñ kī putliyoñ par
nigāh-e-tīra-nazar kā dukh hai
har ek rauzan se aatā jaatā
idhar kā dukh hai udhar kā dukh hai
farishtgān-e-vahī ke hāthoñ
se saare alfāz gir chuke haiñ
qalandarān-e-rivāyat-e-rad
ḳhud apne diiñ se hī phir chuke haiñ
baġhāvatoñ ke alam pe kanda
itā.atoñ kā nishān-e-vāqif
usuul gāhoñ ke mimbaroñ par
sharā.it-e-hukm-o-shaiḳh-o-munsif
tire tanaffus ke pesh-o-pas par
laboñ kī laġhzish gavāh jaise
tirī jabīñ par ugī lakīreñ
saf-e-shikasta sipāh jaise
so ab faqat din guzar rahe haiñ
sadā-e-zanjīr-e-mustaqil se
na raunaq-e-nau na dhuup kī lau
utar ga.ī jaan jaise dil se
sharāb āñkhoñ se ugtā jharnā
bhaTak ke rasta sā ban rahā hai
baḌhā ta.addud surūr-o-mai kā
junūn dastak ko jan rahā hai
ai vādī-e-ḳhushk-o-sabz parbat
tū apnī ḳhushbū se Dar rahī hai
tire sahīfa-numā badan par
ye kaisī aayat utar rahī hai
ai wadi-e-KHushk-o-sabz parbat
tu apni KHushbu se Dar rahi hai
tere sahifa-numa badan par
ye kaisi aayat utar rahi hai
tere fusun-nak raston par
ghaneri rut ki masafaten hain
fazaen pahron mein baT chuki hain
hawaon tak mein adawaten hain
sukut-e-zindan ki putliyon par
nigah-e-tira-nazar ka dukh hai
har ek rauzan se aata jata
idhar ka dukh hai udhar ka dukh hai
farishtgan-e-wahi ke hathon
se sare alfaz gir chuke hain
qalandaran-e-riwayat-e-rad
KHud apne din se hi phir chuke hain
baghawaton ke alam pe kanda
itaaton ka nishan-e-waqif
usul gahon ke mimbaron par
sharait-e-hukm-o-shaiKH-o-munsif
tere tanaffus ke pesh-o-pas par
labon ki laghzish gawah jaise
teri jabin par ugi lakiren
saf-e-shikasta sipah jaise
so ab faqat din guzar rahe hain
sada-e-zanjir-e-mustaqil se
na raunaq-e-nau na dhup ki lau
utar gai jaan jaise dil se
sharab aankhon se ugta jharna
bhaTak ke rasta sa ban raha hai
baDha taddud surur-o-mai ka
junun dastak ko jan raha hai
ai wadi-e-KHushk-o-sabz parbat
tu apni KHushbu se Dar rahi hai
tere sahifa-numa badan par
ye kaisi aayat utar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.