radd-e-amal
maiñ āñdhiyoñ kī siyāh yalġhār se bachā bhī
to apnī manzil na pā sakūñgā
ki rāste maiñ ne apne
badal diye haiñ
tamām be-laus hausle bhī kuchal diye haiñ
safar mirā ab shurūa huā hai
shurūa rahegā
hujūm milne to do kahīñ par
qadam na hoñge mire zamīñ par
baḌho baḌho kī sadā-e-māzī
badan ke sātoñ tabaq meñ hogī
to kyā karūñgā
ki mere andar ḳhudā nahīñ hai
jo rok legā
safar mirā ab shurūa rahegā
main aandhiyon ki siyah yalghaar se bacha bhi
to apni manzil na pa sakunga
ki raste main ne apne
badal diye hain
tamam be-laus hausle bhi kuchal diye hain
safar mera ab shurua hua hai
shurua rahega
hujum milne to do kahin par
qadam na honge mere zamin par
baDho baDho ki sada-e-mazi
badan ke saton tabaq mein hogi
to kya karunga
ki mere andar KHuda nahin hai
jo rok lega
safar mera ab shurua rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.