radd-e-amal
tumheñ mā'lūm hī shāyad nahīñ ye
piyāla zahr kā mujh ko pilā kar
mire sach ko amar tum ne kiyā hai
salīb-o-dār par mujh ko sajā kar
bulandī bhī 'atā kī hai tumhīñ ne
kiyā jab se supurd-e-ḳhāk tum ne
guloñ kī shāḳh par khilne lagā huuñ
utārā thā jahāñ tan se mirā sar
vahāñ par aaj bhī ahl-e-vafā ke
hazāroñ saal se lagte haiñ mele
jahāñ tum ne zabāñ kaaTī thī merī
bahut bebāk lahje meñ vahāñ par
chalan ab ho gayā hai guftugū kā
jahāñ āñkheñ mirī be-nūr kī thiiñ
hue ahl-e-nazar paidā vahāñ par
mire baazū ukhāḌe the jahāñ par
vahāñ ab parbatoñ ke silsile haiñ
ḳhudā kā shukr hai tohfe kī sūrat
tumhārī zid ke sadqe dar-haqīqat
mujhe jiine kā
mauqa' mil gayā hai
tumhein ma'lum hi shayad nahin ye
piyala zahr ka mujh ko pila kar
mere sach ko amar tum ne kiya hai
salib-o-dar par mujh ko saja kar
bulandi bhi 'ata ki hai tumhin ne
kiya jab se supurd-e-KHak tum ne
gulon ki shaKH par khilne laga hun
utara tha jahan tan se mera sar
wahan par aaj bhi ahl-e-wafa ke
hazaron sal se lagte hain mele
jahan tum ne zaban kaTi thi meri
bahut bebak lahje mein wahan par
chalan ab ho gaya hai guftugu ka
jahan aankhen meri be-nur ki thin
hue ahl-e-nazar paida wahan par
mere bazu ukhaDe the jahan par
wahan ab parbaton ke silsile hain
KHuda ka shukr hai tohfe ki surat
tumhaari zid ke sadqe dar-haqiqat
mujhe jine ka
mauqa' mil gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.