radd-e-tashkil
Interesting Fact
ذہن دریدہ ( ژاک دریدہ کے لیے )
ek din achānak
ka.ī lafz
munkir-nakīr kī tarah
jhapāk se merī qabr meñ ghus aa.e
aksar kī peshānī par savālāt ke achambhe the
pareshānī kī baat to thī hī
maiñ ne fauran gōgle aur wikipedia ke vāste dene shurū' kiye
bas phir kyā thā
saare lafz
mere sāmne raqs karte hue
jhaT-paT rañg-birañgī āvāzeñ pahan kar
ek dūsre se lipaT ga.e
zarā sī der meñ
saare rang aapas meñ ulajh ga.e
aur ek buDDhā ullū
ye āhanī taḳhtī mere gale meñ Daal gayā
jis par be-rang ḳhat meñ kunda hai
aaj se ye bad-baḳht darīda-dimāġh
lafzoñ par chaḌhe rang khurchā karegā
ki yahī is kī sazā hai
tab se maiñ isī mashaqqat meñ lagā huuñ
aur muntazir huuñ ki gale meñ paḌī huī taḳhtī par lagā zang mujhe kab nazar aa.egā
ek din achanak
kai lafz
munkir-nakir ki tarah
jhapak se meri qabr mein ghus aae
aksar ki peshani par sawalat ke achambhe the
pareshani ki baat to thi hi
main ne fauran google aur wikipedia ke waste dene shuru' kiye
bas phir kya tha
sare lafz
mere samne raqs karte hue
jhaT-paT rang-birangi aawazen pahan kar
ek dusre se lipaT gae
zara si der mein
sare rang aapas mein ulajh gae
aur ek buDDha ullu
ye aahani taKHti mere gale mein Dal gaya
jis par be-rang KHat mein kunda hai
aaj se ye bad-baKHt darida-dimagh
lafzon par chaDhe rang khurcha karega
ki yahi is ki saza hai
tab se main isi mashaqqat mein laga hun
aur muntazir hun ki gale mein paDi hui taKHti par laga zang mujhe kab nazar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.