raddi ki Tokari
muḌe-tuḌe kāġhazoñ ke purze
jo apne siine meñ vaqt ke
be-shumār dukh-sukh liye hue haiñ
hazāroñ sadiyoñ ke udhḌe-pudhḌe
safar se guzre
ka.ī mashīnoñ ke jism chhū kar yahāñ tak aa.e
yahāñ paḌe sochte haiñ
ye kā.enāt raddī kī Tokarī hai
jahāñ hamārī masāfateñ aur ḳhudā
ke vā’de
sisak rahe haiñ
muDe-tuDe kaghazon ke purze
jo apne sine mein waqt ke
be-shumar dukh-sukh liye hue hain
hazaron sadiyon ke udhDe-pudhDe
safar se guzre
kai mashinon ke jism chhu kar yahan tak aae
yahan paDe sochte hain
ye kaenat raddi ki Tokari hai
jahan hamari masafaten aur KHuda
ke wa’de
sisak rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.