radif aur qafiye
hañsī kal se mujhe is baat par hai aa rahī ḳhālū
ki ḳhāla kah rahī thiiñ aap kā hai qāfiya aalū
usī din se bahut Darne lagā huuñ aap se ḳhāla
jab ammī ne batāyā aap kā hai qāfiya bhālā
agar pūchhe koī kyā qāfiya hai aap kā phuppī
to fauran sāmne rakh dūñgā lā kar tel kī kuppī
agar shā.ir kaheñ be-qāfiya hai lafz-e-bahnoī
mire bahnoī sar par shā.iroñ ke mārnā Doī
agar pūchhe koī kyā qāfiya hai aap kā daadī
to malmal pheñk denā oḌh lenā sar pe tum khādī
bahut hai ghūmne kā shauq tum ko ai baḌe bhayyā
na maaro to batā duuñ hai tumhārā qāfiya pahiyā
tum apnā qāfiya ḳhud ban ga.ī ho ai merī aapā
nazar lag jā.egī tum sar pe rakh kar ho ho Taapā
tumhārā qāfiya koī nahīñ hai ai nahīf ammī
yahī achchhā hai tum chupke se ban jaao radīf ammī
hansi kal se mujhe is baat par hai aa rahi KHalu
ki KHala kah rahi thin aap ka hai qafiya aalu
usi din se bahut Darne laga hun aap se KHala
jab ammi ne bataya aap ka hai qafiya bhaala
agar puchhe koi kya qafiya hai aap ka phuppi
to fauran samne rakh dunga la kar tel ki kuppi
agar shair kahen be-qafiya hai lafz-e-bahnoi
mere bahnoi sar par shairon ke marna Doi
agar puchhe koi kya qafiya hai aap ka dadi
to malmal phenk dena oDh lena sar pe tum khadi
bahut hai ghumne ka shauq tum ko ai baDe bhayya
na maro to bata dun hai tumhaara qafiya pahiya
tum apna qafiya KHud ban gai ho ai meri aapa
nazar lag jaegi tum sar pe rakh kar ho ho Tapa
tumhaara qafiya koi nahin hai ai nahif ammi
yahi achchha hai tum chupke se ban jao radif ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.