radio
hamāre munne ko chaah thī radio ḳharīdeñ
ki ab hamāre yahāñ farāġhat kī raushnī thī
maiñ apnī derīna tañg-dastī kī dāstāñ us ko kyā sunātā
uThā ke le aayā tañg-o-tārīk koTharī se
qalīl tanḳhvāh ke chihoḌe hue nivāle
aur un meñ merī
nahīf biivī ne apnī do-chār bāqī-māñda shikast-āmez ārzūoñ kā ḳhuun Daalā
na jaane kab se thā pyāre munne ne radio kā ye ḳhvāb paalā
ye ek hafte kī baat hai aur kal se munnā ye kah rahā hai
ye jānvar sub.h-o-shām be-kār boltā hai
muhīb ḳhabroñ kā zahr gītoñ meñ gholtā hai
galī meñ koī faqīr aa.e to us ko de do
mujhe ikannī kā mor le do
hamare munne ko chah thi radio KHariden
ki ab hamare yahan faraghat ki raushni thi
main apni derina tang-dasti ki dastan us ko kya sunata
uTha ke le aaya tang-o-tarik koThari se
qalil tanKHwah ke chihoDe hue niwale
aur un mein meri
nahif biwi ne apni do-chaar baqi-manda shikast-amez aarzuon ka KHun Dala
na jaane kab se tha pyare munne ne radio ka ye KHwab pala
ye ek hafte ki baat hai aur kal se munna ye kah raha hai
ye jaanwar subh-o-sham be-kar bolta hai
muhib KHabron ka zahr giton mein gholta hai
gali mein koi faqir aae to us ko de do
mujhe ikanni ka mor le do
- Book : Lambi Barish (Pg. 48)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.