rafiq-e-nadida
ik nidā aa.ī bahut duur se kānoñ meñ mire
phir ḳhayāl aayā ki ye vahm mirā ho shāyad
mere uljhe hue ḳhvāboñ ke sanam ḳhāne haiñ
mere anfās kī mauhūm sadā ho shāyad
maiñ tasavvur ke ḳhalāoñ meñ bhaTaktā huuñ sadā
shabnamī soch kī raas aatī nahīñ mujh ko havā
jo mire shauq-e-takallum kī talabgār na ho
is se qurbat kī tamannā kā taqāzā be-sūd
ḳhvāb jo āñkhoñ meñ maj.hūl nazāra ho jaa.e
us ke sach hone kā be-ma.anī dilāsā be-sūd
be-nidā ḳhvāhish lailā se mujhe kyā hāsil
aisī nādīda zuleḳhā se mujhe kyā hāsil
kyā ḳhabar is ke taḳhayyul meñ mirā naam na ho
mujh se milne kī himāqat se vo katrā jaa.e
kyā patā merī rifāqat use manzūr na ho
mujh se mil baiThe magar jald hī uktā jaa.e
vasl māmūra-e-ehsās ke ḳhvāboñ meñ rahe
hasrat sharaf mulāqāt sarāboñ meñ rahe
kyā patā us ko mire qurb kī ḳhvāhish hī na ho
baat karnī bhī na ho us ko gavārā mujh se
kyā ḳhabar pahlī mulāqāt pe vo ye kah de
rakhnā ummīd na milne kī dobāra mujh se
ye tasavvur mire pindār se Takrāte haiñ
mere jazbāt isī ḳhauf se mar jaate haiñ
jo sadā duur se aa.ī hai faqat vahm se vo
vahm ke saa.e se ummīd lagānā hai fuzūl
dahr kī talḳh haqīqat ko nazar meñ rakh kar
ret par ḳhvāboñ kī tasvīr banānā hai fuzūl
aisī tasvīr kā har rañg utar jaatā hai
vaqt ke saath ḳhalāoñ meñ bikhar jaatā hai
ek nida aai bahut dur se kanon mein mere
phir KHayal aaya ki ye wahm mera ho shayad
mere uljhe hue KHwabon ke sanam KHane hain
mere anfas ki mauhum sada ho shayad
main tasawwur ke KHalaon mein bhaTakta hun sada
shabnami soch ki ras aati nahin mujh ko hawa
jo mere shauq-e-takallum ki talabgar na ho
is se qurbat ki tamanna ka taqaza be-sud
KHwab jo aankhon mein majhul nazara ho jae
us ke sach hone ka be-mani dilasa be-sud
be-nida KHwahish laila se mujhe kya hasil
aisi nadida zuleKHa se mujhe kya hasil
kya KHabar is ke taKHayyul mein mera nam na ho
mujh se milne ki himaqat se wo katra jae
kya pata meri rifaqat use manzur na ho
mujh se mil baiThe magar jald hi ukta jae
wasl mamura-e-ehsas ke KHwabon mein rahe
hasrat sharaf mulaqat sarabon mein rahe
kya pata us ko mere qurb ki KHwahish hi na ho
baat karni bhi na ho us ko gawara mujh se
kya KHabar pahli mulaqat pe wo ye kah de
rakhna ummid na milne ki dobara mujh se
ye tasawwur mere pindar se Takraate hain
mere jazbaat isi KHauf se mar jate hain
jo sada dur se aai hai faqat wahm se wo
wahm ke sae se ummid lagana hai fuzul
dahr ki talKH haqiqat ko nazar mein rakh kar
ret par KHwabon ki taswir banana hai fuzul
aisi taswir ka har rang utar jata hai
waqt ke sath KHalaon mein bikhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.