rafta-rafta
sochtī pattiyoñ kī jaḌeñ khokhlī ho chukī haiñ
kaun saa.e meñ baiThā
moTī chamḌī ko ehsās hotā nahīñ hai
āñkheñ sailāb meñ bah chukī haiñ
koñpleñ kaun sā rang pahneñ
Dāliyāñ kaun sā phuul le kar jhukeñ
ḳhushbūoñ ko havā le uḌī hai
phal faqat phal kā ik silsila
nām-o-number ke khāte meñ jis kā koī tazkira tak nahīñ
sochti pattiyon ki jaDen khokhli ho chuki hain
kaun sae mein baiTha
moTi chamDi ko ehsas hota nahin hai
aankhen sailab mein bah chuki hain
konplen kaun sa rang pahnen
Daliyan kaun sa phul le kar jhuken
KHushbuon ko hawa le uDi hai
phal faqat phal ka ek silsila
nam-o-number ke khate mein jis ka koi tazkira tak nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.