raftagan ka pata
vo saare rishte
jinheñ tumhāre qarīb aa kar bhulā diyā thā
vo sab marāsim ki jin ko maiñ ne
tumhārī qurbat meñ toḌ Daalā
tumhārī zulfoñ kā saaya pā kar ke
jin daraḳhtoñ kī ThanDī chhāñv se uTh gayā thā
vo saarī āñkheñ
jo rāh-e-ulfat pe merī aamad kī muntazir thiiñ
vo saare paañv jo saath chalne kī ḳhvāhishoñ meñ khaḌe hue the
magar palaT kar na dekhā maiñ ne
par ab jo mausam badal gayā hai
tum ab nahīñ ho
to saare rishte sabhī marāsim ghane daraḳhtoñ kī ThanDī chhāñv
kisī kī āñkheñ kisī ke paañv
ye pūchhte haiñ
udaas āñkhoñ meñ ujḌe ḳhvāboñ kī laash le kar
jahān-e-fānī meñ phir rahe ho
sañbhal ke chalne kī bejā koshish meñ gir rahe ho
vo shaḳhs jis kī vaj.h se tum ne hameñ nākāra
vo ab kahāñ hai
vo jis kī bāteñ sunā sunā kar jalāte rahte the
kyā huā vo
kahāñ gayā vo
unheñ batātā huuñ sard mausam meñ dhuup thī so
be-ruḳhī kī ridā ko oḌhe kisī do-pahrī meñ so ga.e ho
tum ik parā.e ke ho ga.e ho
kisī se kahtā huuñ achchhe logoñ kī sohbatoñ meñ sañvar ga.e ho
kisī se kahtā huuñ mar ga.e ho
wo sare rishte
jinhen tumhaare qarib aa kar bhula diya tha
wo sab marasim ki jin ko main ne
tumhaari qurbat mein toD Dala
tumhaari zulfon ka saya pa kar ke
jin daraKHton ki ThanDi chhanw se uTh gaya tha
wo sari aankhen
jo rah-e-ulfat pe meri aamad ki muntazir thin
wo sare panw jo sath chalne ki KHwahishon mein khaDe hue the
magar palaT kar na dekha main ne
par ab jo mausam badal gaya hai
tum ab nahin ho
to sare rishte sabhi marasim ghane daraKHton ki ThanDi chhanw
kisi ki aankhen kisi ke panw
ye puchhte hain
udas aankhon mein ujDe KHwabon ki lash le kar
jahan-e-fani mein phir rahe ho
sanbhal ke chalne ki beja koshish mein gir rahe ho
wo shaKHs jis ki wajh se tum ne hamein nakara
wo ab kahan hai
wo jis ki baaten suna suna kar jalate rahte the
kya hua wo
kahan gaya wo
unhen batata hun sard mausam mein dhup thi so
be-ruKHi ki rida ko oDhe kisi do-pahri mein so gae ho
tum ek parae ke ho gae ho
kisi se kahta hun achchhe logon ki sohbaton mein sanwar gae ho
kisi se kahta hun mar gae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.