rag-e-jaan
jīvan kā jab pahiya ghūme
aur garmī kā mausam aa.e
pyaas agar mahsūs ho tum ko
mere pyaar kī barf milā kar
ThanDā paanī piinā tum
rut badle jab
aur sāvan aa.e
bārish ho aur ghar se niklo
mere pyaar kī chhatrī le kar
ḳhud ko tum mahfūz samajhnā
aglī rut hai sardī kī
ThanDe ThanDe bistar par
mere pyaar kā kambal le kar
taan ke us ko apne uupar
mīThī niiñd meñ sapne bunte
raat meñ soyā karnā tum
merī nannhī pyārī guḌiyā
beTī tum ho achchhī sī
āte-jāte raste meñ
basta jab schōl kā tum ko
bhārī sā mahsūs agar ho
shānoñ meñ taklīf agar ho
jīvan meñ jab kisī jagah tum
ḳhud ko tanhā paao to
mujh ko bhuul na jaanā tum
maiñ tum meñ jiitā rahtā huuñ
fauran hī aa jā.ūñgā
chupke se bas abbū kahnā
jiwan ka jab pahiya ghume
aur garmi ka mausam aae
pyas agar mahsus ho tum ko
mere pyar ki barf mila kar
ThanDa pani pina tum
rut badle jab
aur sawan aae
barish ho aur ghar se niklo
mere pyar ki chhatri le kar
KHud ko tum mahfuz samajhna
agli rut hai sardi ki
ThanDe ThanDe bistar par
mere pyar ka kambal le kar
tan ke us ko apne upar
miThi nind mein sapne bunte
raat mein soya karna tum
meri nannhi pyari guDiya
beTi tum ho achchhi si
aate-jate raste mein
basta jab school ka tum ko
bhaari sa mahsus agar ho
shanon mein taklif agar ho
jiwan mein jab kisi jagah tum
KHud ko tanha pao to
mujh ko bhul na jaana tum
main tum mein jita rahta hun
fauran hi aa jaunga
chupke se bas abbu kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.