rah-o-rasm-e-ashnai
zamīñ na.ī thii, falak nā-shanās thā jab ham
tirī galī se nikal kar sū-e-zamāna chale
nazar jhukā ke ba-andāz-e-mujrimāna chale
chale ba-jeb-e-darīda, ba-dāman-e-sad-chāk
ki jaise jins-e-dil-o-jāñ gañvā ke aa.e haiñ
tamām naqd-e-siyādat luTā ke aa.e haiñ
jahāñ ik umr kaTī thii, isī qalam-rau meñ
shanāḳht ke liye har shāhrāh ne Tokā
har ik nigāh ke neze ne rāsta rokā
jahāñ jale the tire husn-e-ātishīñ ke kañval
vahāñ alaav to kyaa, raakh kā nishāñ bhī na thā
charāġh-e-kushta-e-mahfil dhuāñ dhuāñ bhī na thā
musāfirat ne pukārā na.e ufuq kī taraf
agar vafā kī sharī.at kā ye sila hogā
na.e ufuq se ta.āruf ke ba.ad kyā hogā
zamin nai thi, falak na-shanas tha jab hum
teri gali se nikal kar su-e-zamana chale
nazar jhuka ke ba-andaz-e-mujrimana chale
chale ba-jeb-e-darida, ba-daman-e-sad-chaak
ki jaise jins-e-dil-o-jaan ganwa ke aae hain
tamam naqd-e-siyaadat luTa ke aae hain
jahan ek umr kaTi thi, isi qalam-rau mein
shanaKHt ke liye har shahrah ne Toka
har ek nigah ke neze ne rasta roka
jahan jale the tere husn-e-atishin ke kanwal
wahan alaw to kya, rakh ka nishan bhi na tha
charagh-e-kushta-e-mahfil dhuan dhuan bhi na tha
musafirat ne pukara nae ufuq ki taraf
agar wafa ki shariat ka ye sila hoga
nae ufuq se taaruf ke baad kya hoga
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 61)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.