rah-zani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
rahzanī ḳhuub nahīñ ḳhvāja-sarāoñ ke liye
shor pāyal kā sar-e-rāh na rusvā kar de
haath uTheñge to kañgan kī sadā aa.egī
tīrgī fitna-e-shahvat ko havā detī hai
chāndnī raqs pe majbūr kiyā kartī hai
narm resham se bune shoḳh dupaTToñ kī qasam
log luTne ko sar-e-rāh chale ā.eñge
is qadar ā.eñge bhar jā.egā phir raat kā dil
saḳht lahja gul-e-naġhma meñ badal jā.egā
ḳhuuñ bahāne ke evaz itr-fishānī hogī
hosh aa.egā to bikhre paḌe hoñge ghuñgrū
sub.h phir chaak libāsoñ kā tamāshā hogā
rahzanī ḳhuub nahīñ ḳhvāja-sarāoñ ke liye
rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
shor payal ka sar-e-rah na ruswa kar de
hath uThenge to kangan ki sada aaegi
tirgi fitna-e-shahwat ko hawa deti hai
chandni raqs pe majbur kiya karti hai
narm resham se bune shoKH dupaTTon ki qasam
log luTne ko sar-e-rah chale aaenge
is qadar aaenge bhar jaega phir raat ka dil
saKHt lahja gul-e-naghma mein badal jaega
KHun bahane ke ewaz itr-fishani hogi
hosh aaega to bikhre paDe honge ghungru
subh phir chaak libason ka tamasha hoga
rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.