rahm-dil laDki
kisī shahr meñ ek beva kā ghar thā
na jis meñ kahīñ raushnī kā guzar thā
baḌī thī ġharīb aur muflis bichārī
zamāne kī dukhiyā thī qismat kī maarī
na apnā na begāna ġham-ḳhvār koī
faqat ek beTī hī beTī thī us kī
mohalle se ik raat khānā jo aayā
kiyā shukr beva ne ḳhush ho ke khāyā
magar rakh liyā us ne laḌkī kā hissa
tabī.at ḳharāb us kī thī kuchh ziyāda
Thahar kar maiñ khā.ūñgī khānā vo bolī
hifāzat se rakhiye ise pyārī ammī
usī vaqt dar par faqīr ek aayā
sadā dī ki mil jaa.e kuchh rāh-e-maulā
uThī chārpā.ī se laḌkī ye sun kar
zarā khol darvāza jhāñkā jo bāhar
uThī chārpā.ī se laḌkī ye sun kar
zarā khol darvāza jhāñkā jo bāhar
to kyā dekhtī hai faqīr ek būḌhā
phaTī jis kī gudḌī piyāla hai TuuTā
ajab ronī sūrat banā ke khaḌā hai
kamar jhuk rahī hai laboñ par duā hai
palaT aa.ī laḌkī uThā laa.ī khānā
diyā apnā hissa bhikārī ko saarā
bhikārī gayā yuuñ duā us ko detā
bhalā jo karegā bhalā hogā us kā
huī sub.h ik ardalī dar pe aayā
bulāve kā hākim se parvāna laayā
Dareñ pahle donoñ magar ardalī ne
bañdhā.ī jo Dhāras gayā ḳhauf dil se
ga.iiñ jab milā un ko in.aam itnā
kabhī vahm bhī dil meñ aayā na hogā
khulī baa'd meñ jab haqīqat ye saarī
ki ḳhud hākim-e-shahr thā vo bhikārī
jo phirtā hai shab ko yūñhī bhes badle
re.āyā ke har shaḳhs kā haal dekhe
to karne lagīñ faḳhr qismat pe apnī
ki roTī ke badle meñ daulat ye paa.ī
ġharaz jo savālī kī puurī karegā
ḳhudā us kā muñh motiyoñ se bharegā
kisi shahr mein ek bewa ka ghar tha
na jis mein kahin raushni ka guzar tha
baDi thi gharib aur muflis bichaari
zamane ki dukhiya thi qismat ki mari
na apna na begana gham-KHwar koi
faqat ek beTi hi beTi thi us ki
mohalle se ek raat khana jo aaya
kiya shukr bewa ne KHush ho ke khaya
magar rakh liya us ne laDki ka hissa
tabiat KHarab us ki thi kuchh ziyaada
Thahar kar main khaungi khana wo boli
hifazat se rakhiye ise pyari ammi
usi waqt dar par faqir ek aaya
sada di ki mil jae kuchh rah-e-maula
uThi chaarpai se laDki ye sun kar
zara khol darwaza jhanka jo bahar
uThi chaarpai se laDki ye sun kar
zara khol darwaza jhanka jo bahar
to kya dekhti hai faqir ek buDha
phaTi jis ki gudDi piyala hai TuTa
ajab roni surat bana ke khaDa hai
kamar jhuk rahi hai labon par dua hai
palaT aai laDki uTha lai khana
diya apna hissa bhikari ko sara
bhikari gaya yun dua us ko deta
bhala jo karega bhala hoga us ka
hui subh ek ardali dar pe aaya
bulawe ka hakim se parwana laya
Daren pahle donon magar ardali ne
bandhai jo Dhaaras gaya KHauf dil se
gain jab mila un ko inam itna
kabhi wahm bhi dil mein aaya na hoga
khuli ba'd mein jab haqiqat ye sari
ki KHud hakim-e-shahr tha wo bhikari
jo phirta hai shab ko yunhi bhes badle
reaya ke har shaKHs ka haal dekhe
to karne lagin faKHr qismat pe apni
ki roTi ke badle mein daulat ye pai
gharaz jo sawali ki puri karega
KHuda us ka munh motiyon se bharega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.