rahne do
jo lamhe biit ga.e jānāñ kyūñkar vo lauT ke ā.eñge
vo dil jo TuuT ga.e hamdam āḳhir kaise juḌ pā.eñge
ab saarī koshish rahne do
aur muḳhtārī ke sahrā meñ ik hijr kī bandish rahne do
jo naqsh havā ke haath lage DhūñDo to kahāñ tak jāoge
jaao bhī agar kyā pāoge bas ek tumhī thak jāoge
hāthoñ kī lakīroñ kī mere ḳhvāboñ se sāzish rahne do
ab saarī koshish rahne do
vo pahlī koñpal se alhaḌ vo taaza barfoñ se jazbe
vo har anjām se be-parvā ma.asūm ġhazāloñ se jazbe
ab in jazboñ kī raakh tale is dil kī sozish rahne do
ab saarī koshish rahne do
ham tār-e-kafan se jazboñ ke kuchh na.e irāde bun leñge
kuchh aur ta.alluq bāñdh ke ham kuchh bāteñ kah leñ sun leñge
marne tak zinda rahne kī koī gunjā.ish rahne do
ab saarī koshish rahne do
jo lamhe bit gae jaanan kyunkar wo lauT ke aaenge
wo dil jo TuT gae hamdam aaKHir kaise juD paenge
ab sari koshish rahne do
aur muKHtari ke sahra mein ek hijr ki bandish rahne do
jo naqsh hawa ke hath lage DhunDo to kahan tak jaoge
jao bhi agar kya paoge bas ek tumhi thak jaoge
hathon ki lakiron ki mere KHwabon se sazish rahne do
ab sari koshish rahne do
wo pahli konpal se alhaD wo taza barfon se jazbe
wo har anjam se be-parwa masum ghazalon se jazbe
ab in jazbon ki rakh tale is dil ki sozish rahne do
ab sari koshish rahne do
hum tar-e-kafan se jazbon ke kuchh nae irade bun lenge
kuchh aur talluq bandh ke hum kuchh baaten kah len sun lenge
marne tak zinda rahne ki koi gunjaish rahne do
ab sari koshish rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.