rahne do mujhe
guzre hue vaqtoñ se nikal kar dekhā
aaj kā daur alāhida to nahīñ hai
vo hī āvāz ke saa.e vo hī be-sharm sarāb
aaj bhī maujūd haiñ kal jaise ḳharāb
chehre zarā badle haiñ na.ī baat nahīñ hai
maanā biite hue kal se nadāmat hai mujhe
aisā kuchh bhī to nahīñ jis se aqīdat hai mujhe
maazī vale kuchh bhī ho jiine kā bahāna hai mire
ik ḳhvāb mohabbat kā suhānā hai mire
ab vo hī chhoḌ ke jiinā hai to jiinā kyā hai
haañ zarā dard bhī ho letā hai gāhe-gāhe
aur jaan pe ban aatī hai tab jab chāhe
ye bhī lagtā hai ke rāste band haiñ sab
aur jiine kī sajā āḳhir kab tak
par mire dost ye haal to maazī se bhī bad-tar hai
is meñ nafrat ke ubāle haiñ bahut
is meñ aaheñ fuġhāñ-o-nāle haiñ bahut
jiine ke liye marne kī zarūrat hai bahut
thā to ye pahle bhī magar itnā nahīñ thā
kuchh kā thā TuuTā huā har ek kā sapnā nahīñ thā
mujh ko mere maazī meñ fanā rahne do
merī ulfat mire jiine kā bahāna hai bahut
guzre hue waqton se nikal kar dekha
aaj ka daur alahida to nahin hai
wo hi aawaz ke sae wo hi be-sharm sarab
aaj bhi maujud hain kal jaise KHarab
chehre zara badle hain nai baat nahin hai
mana bite hue kal se nadamat hai mujhe
aisa kuchh bhi to nahin jis se aqidat hai mujhe
mazi wale kuchh bhi ho jine ka bahana hai mere
ek KHwab mohabbat ka suhana hai mere
ab wo hi chhoD ke jina hai to jina kya hai
han zara dard bhi ho leta hai gahe-gahe
aur jaan pe ban aati hai tab jab chahe
ye bhi lagta hai ke raste band hain sab
aur jine ki saja aaKHir kab tak
par mere dost ye haal to mazi se bhi bad-tar hai
is mein nafrat ke ubaale hain bahut
is mein aahen fughan-o-nale hain bahut
jine ke liye marne ki zarurat hai bahut
tha to ye pahle bhi magar itna nahin tha
kuchh ka tha TuTa hua har ek ka sapna nahin tha
mujh ko mere mazi mein fana rahne do
meri ulfat mere jine ka bahana hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.