railiyan hi railiyan
ye hamārā shahr jo shahr-e-'kalīm'-o-'shād' hai
dost is kā āj-kal charḳh-e-sitam-ījād hai
ik zamāna thā ki gañgā kā ye ham-sāya nagar
sher-o-hikmat ke liye thā dars-gāh-e-mo'tabar
bhā.ī-chāra aur ravā-dārī kā thā har-sū rivāj
apne apne shuġhl meñ masrūf rahtā thā samāj
shā.erān-e-ḳhush-navā din raat aate the nazar
gungunāte sher kahte har galī ke moḌ par
aise be-fikroñ ko jin kī tab.a mauzūñ hī na thī
shauq thā kankavve-bāzī kaa, bajā.e-shā.erī
mulk meñ tahrīk-e-āzādī kā aayā daur jab
mashġhale tafrīh ke, DhūñDe ga.e kuchh aur tab
thī kabhī to bhūk-haḌtāl strike, mār-dhāḌ
aur kabhī thī nāre-bāzī dhar ise us ko pichhāḌ
ba.ad-e-āzādī na.ī masrūfiyat kā dar khulā
niim to hai niim hī us par karailā bhī chaḌhā
ik na.ī tahrīk aa.ī le ke kuchh tabdīliyāñ
ya.anī ab tafrīh kā sāmān-e-nau haiñ railiyāñ
jis tarah hoñ khetiyoñ par hamla-āvar TiDDiyāñ
yūñhī ahl-e-shahr ke haq meñ haiñ la.anat railiyāñ
kursiyoñ se jo siyāsat-zād-gāñ mahrūm haiñ
railiyāñ un ke liye bā-maqsad o mafhūm haiñ
rañg-dāroñ ko milā kar bhiiḌ ikaTThī kī ga.ī
chappa chappa par galī-kūchoñ ke jo qābiz huī
daf.atan maflūj ho kar rah gayā har kām-kāj
shahr meñ chaltā rahā kuchh der tak rāvan kā raaj
ittifāqan gar koī dūkāñ khulī paa.ī ga.ī
ḳhuub jī bhar ke vo luuTī aur jalvā.ī ga.ī
har dar-o-dīvār ke nīche khaTāloñ kī qatār
biich saḌkoñ par maveshī aur ġhalāzat kī bahār
aur is manzar ke pīchhe railī-bāzoñ kā hujūm
tujh ko le aayā kahāñ ai shahr terā baḳht-e-shūm
ye hamara shahr jo shahr-e-'kalim'-o-'shad' hai
dost is ka aaj-kal charKH-e-sitam-ijad hai
ek zamana tha ki ganga ka ye ham-saya nagar
sher-o-hikmat ke liye tha dars-gah-e-mo'tabar
bhai-chaara aur rawa-dari ka tha har-su riwaj
apne apne shughl mein masruf rahta tha samaj
shaeran-e-KHush-nawa din raat aate the nazar
gungunate sher kahte har gali ke moD par
aise be-fikron ko jin ki taba mauzun hi na thi
shauq tha kankawwe-bazi ka, bajae-shaeri
mulk mein tahrik-e-azadi ka aaya daur jab
mashghale tafrih ke, DhunDe gae kuchh aur tab
thi kabhi to bhuk-haDtal strike, mar-dhaD
aur kabhi thi nare-bazi dhar ise us ko pichhaD
baad-e-azadi nai masrufiyat ka dar khula
nim to hai nim hi us par karaila bhi chaDha
ek nai tahrik aai le ke kuchh tabdiliyan
yani ab tafrih ka saman-e-nau hain railiyan
jis tarah hon khetiyon par hamla-awar TiDDiyan
yunhi ahl-e-shahr ke haq mein hain lanat railiyan
kursiyon se jo siyasat-zad-gan mahrum hain
railiyan un ke liye ba-maqsad o mafhum hain
rang-daron ko mila kar bhiD ikaTThi ki gai
chappa chappa par gali-kuchon ke jo qabiz hui
dafatan mafluj ho kar rah gaya har kaam-kaj
shahr mein chalta raha kuchh der tak rawan ka raj
ittifaqan gar koi dukan khuli pai gai
KHub ji bhar ke wo luTi aur jalwai gai
har dar-o-diwar ke niche khaTalon ki qatar
bich saDkon par maweshi aur ghalazat ki bahaar
aur is manzar ke pichhe raili-bazon ka hujum
tujh ko le aaya kahan ai shahr tera baKHt-e-shum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.