rajaz
uThāo mash.al
chalo vo bastī qarīb-tar hai
jahāñ baserā hai be-gharoñ kā
ye log vahshat-zada
ki jin ke udaas chehroñ pe
be-yaqīnī kī dāstāñ hai
aur in kī āñkhoñ ke rāste meñ
is ahd kī karbalā kā manzar sajā huā hai
ye log mahsūr ho ga.e haiñ
javān kitne hī in ke ham ne
qatīl-e-teġh-e-jafā kiye haiñ
ab in ke bachche
yā in ke bhaa.ī
ye hurriyat ke na.e sipāhī
nahīf hāthoñ meñ le ke patthar
samajh rahe haiñ
ki fat.h in ke nasīb meñ hai
ye kitne majbūr ho ga.e haiñ
to ai sipāh-e-amīr-e-zulmat
baḌhāo lashkar
nihatte bachchoñ aur auratoñ ko
bahādurī ke dikhāo jauhar
dikhāo jauhar
uThāo mash.al
zamīñ to ham ne kal in ke qadmoñ se khīñch lī thī
chalo ki sar se falak bhī khīñcheñ
uThao mashal
chalo wo basti qarib-tar hai
jahan basera hai be-gharon ka
ye log wahshat-zada
ki jin ke udas chehron pe
be-yaqini ki dastan hai
aur in ki aankhon ke raste mein
is ahd ki karbala ka manzar saja hua hai
ye log mahsur ho gae hain
jawan kitne hi in ke hum ne
qatil-e-tegh-e-jafa kiye hain
ab in ke bachche
ya in ke bhai
ye hurriyat ke nae sipahi
nahif hathon mein le ke patthar
samajh rahe hain
ki fath in ke nasib mein hai
ye kitne majbur ho gae hain
to ai sipah-e-amir-e-zulmat
baDhao lashkar
nihatte bachchon aur auraton ko
bahaduri ke dikhao jauhar
dikhao jauhar
uThao mashal
zamin to hum ne kal in ke qadmon se khinch li thi
chalo ki sar se falak bhi khinchen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.