raKHsh-e-umr
baiThā thā ek roz maiñ āñgan kī dhuup meñ
aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl thā
sargoshiyoñ meñ vaqt sunātā thā baar baar
qisse qadīm qaisar-o-kisrā kī shaan ke
kartā thā varq varq har ik dāstān ke
maiñ ne kahā ki ham-dam-o-ham-rāz-o-dīda-var
mā-qissā-e-sikandar-o-dārā na ḳhvānda-aim
kuchh zikr ho sabā kā guloñ kā shabāb kā
sāġhar kā mai-kade kā surāhī kā naab kā
kuchh baat ho bahār kī bārāñ kī dhuup kī
ḳhushbū kī chāñdnī kī fazāoñ kī ruup kī
ho jaa.e kuchh mushāhida-e-haq kī guftugū
kuchh bhūlne kī phir use paane kī justujū
kuchh pūchh mujh se bābat-e-afkār-e-dojahāñ
ahvāl-o-iḳhteyār-o-shikāyāt-e-dostāñ
jo jī meñ aa.e pūchh
magar itnā yaad rakh
''az mā ba-juz hikāyat-e-mehr-o-vafā mapurs''
bolā ki tū ''rahīn-e-sitam-hā-e-rozgār''
kyā jāntā hai bābat-e-imkān-e-zindagī
jiitā hai zindagī se pashemān-e-zindagī
kuchh apne dil kā haal bhī ma.alūm hai tujhe
ye vahshateñ ye dard ye tanhā.iyoñ kā bojh
ye hijrateñ ye karb ye bezāriyoñ kā rog
ye hasrateñ ye ranj ye afsurdagī ye sog
siina hai daaġh daaġh jigar laḳht laḳht hai
tū ḳhud kahāñ hai aur kahāñ terā baḳht hai
qulzum ko ek qatre kī ḳhātir bahā diyā
jo vaqt ne diyā tujhe sab kuchh gañvā diyā
ek baar muḌ ke dekh ki kyā terā kho gayā
jaagā tirā nasīb to tū ḳhud hī so gayā
ab hijr na visāl na saudā na suud hai
lamhe se bhī qalīl ye terā vajūd hai
baaqī bachā hai aur kyā tere hisāb meñ
“nai haath baag par hai na pā hai rikāb meñ''
baiTha tha ek roz main aangan ki dhup mein
aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal tha
sargoshiyon mein waqt sunata tha bar bar
qisse qadim qaisar-o-kisra ki shan ke
karta tha warq warq har ek dastan ke
main ne kaha ki ham-dam-o-ham-raaz-o-dida-war
ma-qissa-e-sikandar-o-dara na KHwanda-aim
kuchh zikr ho saba ka gulon ka shabab ka
saghar ka mai-kade ka surahi ka nab ka
kuchh baat ho bahaar ki baran ki dhup ki
KHushbu ki chandni ki fazaon ki rup ki
ho jae kuchh mushahida-e-haq ki guftugu
kuchh bhulne ki phir use pane ki justuju
kuchh puchh mujh se babat-e-afkar-e-dojahan
ahwal-o-iKHteyar-o-shikayat-e-dostan
jo ji mein aae puchh
magar itna yaad rakh
az ma ba-juz hikayat-e-mehr-o-wafa mapurs
bola ki tu rahin-e-sitam-ha-e-rozgar
kya jaanta hai babat-e-imkan-e-zindagi
jita hai zindagi se pasheman-e-zindagi
kuchh apne dil ka haal bhi malum hai tujhe
ye wahshaten ye dard ye tanhaiyon ka bojh
ye hijraten ye karb ye bezariyon ka rog
ye hasraten ye ranj ye afsurdagi ye sog
sina hai dagh dagh jigar laKHt laKHt hai
tu KHud kahan hai aur kahan tera baKHt hai
qulzum ko ek qatre ki KHatir baha diya
jo waqt ne diya tujhe sab kuchh ganwa diya
ek bar muD ke dekh ki kya tera kho gaya
jaga tera nasib to tu KHud hi so gaya
ab hijr na visal na sauda na sud hai
lamhe se bhi qalil ye tera wajud hai
baqi bacha hai aur kya tere hisab mein
“nai hath bag par hai na pa hai rikab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.