rang-chor
lo shaam ho rahī hai
aur us ne hamāre chehre chorī karne shurūa kar diye haiñ
tum chhoTe chor ho
maiñ chhoTā chor nahīñ
samundar meñ utrā
to samundar ne mere kapḌoñ kā koī rang na churāyā
haañ thoḌe se mere saañs zarūr
us ne chorī kar liye the
ma.alūm hotā hai ye bhī chor hai
tum ne kabhī miTTī meñ ġhota lagāyā hai
miTTī chorī karnā baḌā mushkil kaam hai
agar maiñ ne miTTī meñ ġhota lagāyā
to vo mere saare saañs chorī kar legā
to phir ye banda chor chor nahīñ rahegā
rāste meñ to ka.ī rāheñ rañgī huī haiñ
aur an-dekhe ne ba.az jagah
ek hī rang rañgā huā hai
tum ġhāroñ ke rang chorī kar sakte ho
sach pūchho to sab se baḌā rang-chor sūraj hai
rang tak pahuñchte pahuñchte ye tumheñ ka.ī rang dikhā jā.egā
dekhnā ā.īne meñ hamārī āñkheñ ek sī to nahīñ lag rahīñ
kabhī havā ko bhī shīsha kahte haiñ
dekh havā tere kapḌe bhī pakaḌ rahī hai aur mere bhī
kahīñ ye bhī to chor nahīñ
tum chorī karne nikle ho ki rang hone
dekho samundar jab patthar kī satah par aatā hai
to safed ho jaatā hai
aur havā jab peḌoñ pe chaḌh
nāchtī hai to harī ho jaatī hai
aadmī jab rotā hai
apne āñsūoñ meñ Duub jaatā hai
us vaqt tum aadmī kā koī rang chorī nahīñ kar sakte
batāo
āsmān kā rang zamīn pe kaise utrā
tumheñ itnī bārīkiyāñ batā duuñ
to ḳhud chorī ho jā.ūñ
chorī karo pahle is patthar kā rang bhī
is ko jitnā toḌtā huuñ
ek hī rang kī āvāz dete haiñ ye patthar
aur rang chūra-chūra ho jaate haiñ
paanī bhī apnā rang nahīñ nikāl rahā
kahīñ ye bhī rotā huā aadmī to nahīñ
TuuTe phuul kī guftugū bhī ḳhanjar ho ga.ī hai
jo phuul shaam meñ toḌe the
unheñ raat ke añdheroñ ne kaalā kar diyā hai
āhista āhista chalo
hamārī aahaT pā kar koī rang chhup na jaa.e
ye aag bujh nahīñ saktī
aag bujh ga.ī to tum chor nahīñ rahoge
añdhere raushaniyāñ chorī karte haiñ
ye ḳhud chor hote haiñ
maiñ ne chorī na kī to merā ghar be-angāra rah jā.egā
merī roTī kā rang safed paḌ jā.egā
merī bhuuk rang rang pukāregī
mujhe TuuTe phūloñ ke paas le jā.egī
aur phuul jānte haiñ ki maiñ chor huuñ
jab āñkhoñ kī keñchulī chorī ho jaatī hai
insān aise hī rang choriyāñ karne nikal khaḌā hotā hai
maiñ ne samundar kā rang churāyā thā to farsh banāyā thā
āñkhoñ ke rang churā.e the to dīvāreñ banā.īñ thiiñ
sūraj kā rang churāyā thā to chhāñv banā.ī thī
bhuuk kā rang churāyā thā to chūlhā banāyā thā
chuġhlī kā rang churāyā thā to kapḌe silvā.e the
aur jab aag kā rang chorī kiyā
to merī roTī kachchī rah ga.ī
patthar ḳhāmosh ho jaate haiñ
aur diye kī lau
ḳhalā ko phir se jalānā shurūa kar detī hai
lo sham ho rahi hai
aur us ne hamare chehre chori karne shurua kar diye hain
tum chhoTe chor ho
main chhoTa chor nahin
samundar mein utra
to samundar ne mere kapDon ka koi rang na churaya
han thoDe se mere sans zarur
us ne chori kar liye the
malum hota hai ye bhi chor hai
tum ne kabhi miTTi mein ghota lagaya hai
miTTi chori karna baDa mushkil kaam hai
agar main ne miTTi mein ghota lagaya
to wo mere sare sans chori kar lega
to phir ye banda chor chor nahin rahega
raste mein to kai rahen rangi hui hain
aur an-dekhe ne baz jagah
ek hi rang ranga hua hai
tum ghaaron ke rang chori kar sakte ho
sach puchho to sab se baDa rang-chor suraj hai
rang tak pahunchte pahunchte ye tumhein kai rang dikha jaega
dekhna aaine mein hamari aankhen ek si to nahin lag rahin
kabhi hawa ko bhi shisha kahte hain
dekh hawa tere kapDe bhi pakaD rahi hai aur mere bhi
kahin ye bhi to chor nahin
tum chori karne nikle ho ki rang hone
dekho samundar jab patthar ki satah par aata hai
to safed ho jata hai
aur hawa jab peDon pe chaDh
nachti hai to hari ho jati hai
aadmi jab rota hai
apne aansuon mein Dub jata hai
us waqt tum aadmi ka koi rang chori nahin kar sakte
batao
aasman ka rang zamin pe kaise utra
tumhein itni barikiyan bata dun
to KHud chori ho jaun
chori karo pahle is patthar ka rang bhi
is ko jitna toDta hun
ek hi rang ki aawaz dete hain ye patthar
aur rang chura-chura ho jate hain
pani bhi apna rang nahin nikal raha
kahin ye bhi rota hua aadmi to nahin
TuTe phul ki guftugu bhi KHanjar ho gai hai
jo phul sham mein toDe the
unhen raat ke andheron ne kala kar diya hai
aahista aahista chalo
hamari aahaT pa kar koi rang chhup na jae
ye aag bujh nahin sakti
aag bujh gai to tum chor nahin rahoge
andhere raushaniyan chori karte hain
ye KHud chor hote hain
main ne chori na ki to mera ghar be-angara rah jaega
meri roTi ka rang safed paD jaega
meri bhuk rang rang pukaregi
mujhe TuTe phulon ke pas le jaegi
aur phul jaante hain ki main chor hun
jab aankhon ki kenchuli chori ho jati hai
insan aise hi rang choriyan karne nikal khaDa hota hai
main ne samundar ka rang churaya tha to farsh banaya tha
aankhon ke rang churae the to diwaren banain thin
suraj ka rang churaya tha to chhanw banai thi
bhuk ka rang churaya tha to chulha banaya tha
chughli ka rang churaya tha to kapDe silwae the
aur jab aag ka rang chori kiya
to meri roTi kachchi rah gai
patthar KHamosh ho jate hain
aur diye ki lau
KHala ko phir se jalana shurua kar deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.